Shayari
dar-e-imkaan ki dastak mujhe bheji gai hai
meri qismat mein to maujud ki daulat nahin hai
kyaa ho sake hisaab ki jab aagahi kahe
ab tak to raaegaani mein saaraa safar kiyaa
کیا ہو سکے حساب کہ جب آگہی کہے
اب تک تو رائیگانی میں سارا سفر کیا
क्या हो सके हिसाब कि जब आगही कहे
अब तक तो राएगानी में सारा सफ़र किया

dar-e-imkaan ki dastak mujhe bheji gai hai
meri qismat mein to maujud ki daulat nahin hai
ye kyaa ki baiThaa hai dariyaa kinaar-e-dariyaa par
main aaj bahtaa huaa jaa rahaa huun paani mein
ye jhaank leti hai andar se aarzu-khaana
havaa kaa qad miri divaar se ziyaada hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jaate hain
yuun to maujud apne ghar mein hai
aadmi mustaqil safar mein hai
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ik dasht-e-be-amaan kaa safar hai chale-chalo
rukne mein jaan o dil kaa zarar hai chale-chalo
raah-e-talab ki laakh masaafat giraan sahi
duniyaa ko main jahaan bhi milaa taaza-dam milaa