Shayari
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
Q
Qayem Chaandpurimain huun ki mere dukh pe koi chashm-e-tar na ho
mar bhi agar rahun to kisi ko khabar na huun
میں ہوں کہ میرے دکھ پہ کوئی چشم تر نہ ہو
مر بھی اگر رہوں تو کسی کو خبر نہ ہوں
मैं हूँ कि मेरे दुख पे कोई चश्म-ए-तर न हो
मर भी अगर रहूँ तो किसी को ख़बर न हूँ
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
kahtaa hai aaina ki hai tujh saa hi ek aur
baavar nahin to laa main tire ru-ba-ru karun
gandumi rang jo hai duniyaa mein
meri chhaati pe muung daltaa hai
iraad kar na paDh ke miraa khat ki ye tamaam
be-rabtiyaan hain samra-e-hangaam-e-ishtiyaaq
koi din aage bhi zaahid ajab zamaana thaa
har ik mohalle ki masjid sharaab-khaana thaa
TuuTaa jo kaaba kaun si ye jaa-e-gham hai shaikh
kuchh qasr-e-dil nahin ki banaayaa na jaaegaa