Shayari
kahtaa hai aaina ki hai tujh saa hi ek aur
baavar nahin to laa main tire ru-ba-ru karun
Q
Qayem ChaandpuriTuuTaa jo kaaba kaun si ye jaa-e-gham hai shaikh
kuchh qasr-e-dil nahin ki banaayaa na jaaegaa
ٹوٹا جو کعبہ کون سی یہ جائے غم ہے شیخ
کچھ قصر دل نہیں کہ بنایا نہ جائے گا
टूटा जो काबा कौन सी ये जा-ए-ग़म है शैख़
कुछ क़स्र-ए-दिल नहीं कि बनाया न जाएगा
kahtaa hai aaina ki hai tujh saa hi ek aur
baavar nahin to laa main tire ru-ba-ru karun
gandumi rang jo hai duniyaa mein
meri chhaati pe muung daltaa hai
iraad kar na paDh ke miraa khat ki ye tamaam
be-rabtiyaan hain samra-e-hangaam-e-ishtiyaaq
koi din aage bhi zaahid ajab zamaana thaa
har ik mohalle ki masjid sharaab-khaana thaa
har taraf zarf-e-vazu bharte hain zaahid hui subh
saath uTh ham bhi suraahi mein mai-e-naab karein
mai pi jo chaahe aatish-e-dozakh se tu najaat
jaltaa nahin vo uzv jo tar ho sharaab mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye aansu be-sabab jaari nahin hai
mujhe rone ki bimaari nahin hai
gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji khush hai to kaanTon pe bhi aaraam bahut hai
mausam-e-gul hamein jab yaad aayaa
jitnaa gham bhule the sab yaad aayaa