Shayari
milne ko yuun to milte the kuchh log roz hi
lekin dilon ke biich mein parda zarur thaa
Dar aur zulm kaa yaaro koi ant nahin
khud ko DhunD rahe hain log ab raavan mein
ڈر اور ظلم کا یارو کوئی انت نہیں
خود کو ڈھونڈ رہے ہیں لوگ اب راون میں
डर और ज़ुल्म का यारो कोई अंत नहीं
ख़ुद को ढूँड रहे हैं लोग अब रावन में

bil-aakhir thak haar ke yaaro ham ne bhi taslim kiyaa
apni zaat se ishq hai sachchaa baaqi sab afsaane hain
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
kaabe ko jaataa kis liye hindostaan se main
kis but mein shahr-e-hind ke shaan-e-khudaa na thi
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost