Shayari
chaandni surkh si dikhaai de
ye moharram kaa chaand hai 'asraar'
khinchi hui thi koi aur naam ki rekhaa
tumhaare haath pe taqdir ne lagaai hinaa
کھنچی ہوئی تھی کوئی اور نام کی ریکھا
تمہارے ہاتھ پہ تقدیر نے لگائی حنا
खिंची हुई थी कोई और नाम की रेखा
तुम्हारे हाथ पे तक़दीर ने लगाई हिना

chaandni surkh si dikhaai de
ye moharram kaa chaand hai 'asraar'
ham na aae junun ke bas mein kabhi
ye garebaan khirad ne chaak kiyaa
be-karaan dasht-e-tasavvur mein bhaTakne ke nuqush
mauj-dar-mauj saraabon se ubharte honge
aap ham se judaa nahin hote
aap par ikhtiyaar hai koi
kyaa us se bichhaDte ki mile hi na the jis se
ik-tarfa mohabbat ke bhi hain zaaviye kyaa kyaa
mahv hain hazrat-e-khayaal apne
haal-e-dil mein muraaqiba baandhe