Shayari
zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
unhein na toliye tahzib ke taraazu mein
gharon mein un ke na chulhe na diip jalte hain
انہیں نہ تولیے تہذیب کے ترازو میں
گھروں میں ان کے نہ چولھے نہ دیپ جلتے ہیں
उन्हें न तोलिये तहज़ीब के तराज़ू में
घरों में उन के न चूल्हे न दीप जलते हैं

zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
vaqt har zakhm kaa marham to nahin ban saktaa
dard kuchh hote hain taa-umr rulaane vaale
bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kyaa
apni muskaan se mahfil ko munavvar kar de
apni urdu to mohabbat ki zabaan thi pyaare
uff siyaasat ne use joD diyaa mazhab se
kyuun sadaa pahne vo teraa hi pasandida libaas
kuchh to mausam ke mutaabiq bhi sanvarnaa hai use
kitnaa sochaa thaa dil lagaaeinge
sochte sochte hayaat hui