Shayari
qurbatein hote hue bhi faaslon mein qaid hain
kitni aazaadi se ham apni hadon mein qaid hain
ai mire chaaraagar tire bas mein nahin moaamla
surat-e-haal ke liye vaaqif-e-haal chaahiye
اے مرے چارہ گر ترے بس میں نہیں معاملہ
صورت حال کے لیے واقف حال چاہئے
ऐ मिरे चारागर तिरे बस में नहीं मोआमला
सूरत-ए-हाल के लिए वाक़िफ़-ए-हाल चाहिए

qurbatein hote hue bhi faaslon mein qaid hain
kitni aazaadi se ham apni hadon mein qaid hain
intizaar aur dastakon ke darmiyaan kaTti hai umr
itni aasaani se to baab-e-hunar khultaa nahin
main kisi ke dast-e-talab mein huun to kisi ke harf-e-duaa mein huun
main nasib huun kisi aur kaa mujhe maangtaa koi aur hai
vaqt ruk ruk ke jinhein dekhtaa rahtaa hai 'salim'
ye kabhi vaqt ki raftaar huaa karte the
saae gali mein jaagte rahte hain raat bhar
tanhaaiyon ki oT se jhaankaa na kar mujhe
aaina khud bhi sanvartaa thaa hamaari khaatir
ham tire vaaste tayyaar huaa karte the