Shayari
saya-e-abr se puchho 'sarvat'
apne hamraah agar le jaae
apne apne ghar jaa kar sukh ki niind so jaaein
tu nahin khasaare mein main nahin khasaare mein
اپنے اپنے گھر جا کر سکھ کی نیند سو جائیں
تو نہیں خسارے میں میں نہیں خسارے میں
अपने अपने घर जा कर सुख की नींद सो जाएँ
तू नहीं ख़सारे में मैं नहीं ख़सारे में

saya-e-abr se puchho 'sarvat'
apne hamraah agar le jaae
shahzaadi tujhe kaun bataae tere charaag-kade tak
kitni mehraabein paDti hain kitne dar aate hain
kyuun girafta-dil nazar aati hai ai shaam-e-firaaq
ham jo tere naaz uThaane ke liye maujud hain
jise anjaam tum samajhti ho
ibtidaa hai kisi kahaani ki
ik daastaan ab bhi sunaate hain farsh o baam
vo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai
teri aashufta-mizaaji ai dil
kyaa khabar kaun nagar le jaae