Shayari
saya-e-abr se puchho 'sarvat'
apne hamraah agar le jaae
do hi chizein is dharti mein dekhne vaali hain
miTTi ki sundartaa dekho aur mujhe dekho
دو ہی چیزیں اس دھرتی میں دیکھنے والی ہیں
مٹی کی سندرتا دیکھو اور مجھے دیکھو
दो ही चीज़ें इस धरती में देखने वाली हैं
मिट्टी की सुंदरता देखो और मुझे देखो

saya-e-abr se puchho 'sarvat'
apne hamraah agar le jaae
shahzaadi tujhe kaun bataae tere charaag-kade tak
kitni mehraabein paDti hain kitne dar aate hain
kyuun girafta-dil nazar aati hai ai shaam-e-firaaq
ham jo tere naaz uThaane ke liye maujud hain
jise anjaam tum samajhti ho
ibtidaa hai kisi kahaani ki
ik daastaan ab bhi sunaate hain farsh o baam
vo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai
teri aashufta-mizaaji ai dil
kyaa khabar kaun nagar le jaae