Shayari
itni siyaah-raat mein itni si raushni
ye chaand vo nahin miraa mahtaab aur hai
aakhir ik roz utarni hai libaadon ki tarah
tan-e-malbus! ye pahni hui uryaani bhi
آخر اک روز اترنی ہے لبادوں کی طرح
تن ملبوس! یہ پہنی ہوئی عریانی بھی
आख़िर इक रोज़ उतरनी है लिबादों की तरह
तन-ए-मल्बूस! ये पहनी हुई उर्यानी भी

itni siyaah-raat mein itni si raushni
ye chaand vo nahin miraa mahtaab aur hai
vo chaahtaa thaa ki dekhe mujhe bikharte hue
so us kaa jashn ba-sad-ehtimaam main ne kiyaa
kisi alaav kaa shoala bhaDak ke boltaa hai
safar kaThin hai magar ek baar aakhiri baar
barun-e-khaak faqat chand Thekre hain magar
yahaan se shahr mileinge agar khudaai hui
un se bhi meri dosti un se bhi ranjishein
siine mein ek halqa-e-ahbaab aur hai
ye to duniyaa bhi nahin hai ki kinaaraa kar le
tu kahaan jaaegaa ai dil ke sataae hue shakhs