Shayari
khvaahish hai ki khud ko bhi kabhi duur se dekhun
manzar kaa nazaara karun manzar se nikal kar
ye meri kaaghzi kashti hai aur ye main huun
khabar nahin ki samundar kaa faisla kyaa hai
یہ میری کاغذی کشتی ہے اور یہ میں ہوں
خبر نہیں کہ سمندر کا فیصلہ کیا ہے
ये मेरी काग़ज़ी कश्ती है और ये मैं हूँ
ख़बर नहीं कि समुंदर का फ़ैसला क्या है

khvaahish hai ki khud ko bhi kabhi duur se dekhun
manzar kaa nazaara karun manzar se nikal kar
ye to duniyaa bhi nahin hai ki kinaaraa kar le
tu kahaan jaaegaa ai dil ke sataae hue shakhs
vo chaahtaa thaa ki dekhe mujhe bikharte hue
so us kaa jashn ba-sad-ehtimaam main ne kiyaa
kisi alaav kaa shoala bhaDak ke boltaa hai
safar kaThin hai magar ek baar aakhiri baar
barun-e-khaak faqat chand Thekre hain magar
yahaan se shahr mileinge agar khudaai hui
itni siyaah-raat mein itni si raushni
ye chaand vo nahin miraa mahtaab aur hai