Shayari
khamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai
taDap ai dil taDapne se zaraa taskin hoti hai
dekhne vaale ko tere dekhne aate hain log
jo kashish tujh mein thi ab vo tere divaane mein hai
دیکھنے والے کو تیرے دیکھنے آتے ہیں لوگ
جو کشش تجھ میں تھی اب وو تیرے دیوانے میں ہے
देखने वाले को तेरे देखने आते हैं लोग
जो कशिश तुझ में थी अब वो तेरे दीवाने में है

khamoshi se musibat aur bhi sangin hoti hai
taDap ai dil taDapne se zaraa taskin hoti hai
ye bazm-e-mai hai yaan kotaah-dasti mein hai mahrumi
jo baDh kar khud uThaa le haath mein miinaa usi kaa hai
ab bhi ik umr pe jiine kaa na andaaz aayaa
zindagi chhoD de pichhaa miraa main baaz aayaa
sun chuke jab haal meraa le ke angDaai kahaa
kis ghazab kaa dard zaalim tere afsaane mein thaa
jaise miri nigaah ne dekhaa na ho kabhi
mahsus ye huaa tujhe har baar dekh kar
dekhaa kiye vo mast nigaahon se baar baar
jab tak sharaab aai kai daur ho gae