Shayari
zindagi aise bhi haalaat banaa deti hai
log saanson kaa kafan oDh ke mar jaate hain
tumhaare baa'd baDaa farq aa gayaa ham mein
tumhaare baa'd kisi pe khafaa nahin hue ham
تمہارے بعد بڑا فرق آ گیا ہم میں
تمہارے بعد کسی پہ خفا نہیں ہوئے ہم
तुम्हारे बा'द बड़ा फ़र्क़ आ गया हम में
तुम्हारे बा'द किसी पे ख़फ़ा नहीं हुए हम

zindagi aise bhi haalaat banaa deti hai
log saanson kaa kafan oDh ke mar jaate hain
sab se pahle dil ke khaali-pan ko bharnaa
paisa saari umr kamaayaa jaa saktaa hai
apne khuun se itni to ummidein hain
apne bachche bhiiD se aage nikleinge
har kone se teri khushbu aaegi
har sanduq mein tere kapDe nikleinge
umr kaa ek aur saal gayaa
vaqt phir ham pe khaak Daal gayaa
abhi raushan huaa jaataa hai rasta
vo dekho ek aurat aa rahi hai