Shayari
kam se kam duniyaa se itnaa miraa rishta ho jaae
koi meraa bhi buraa chaahne vaalaa ho jaae
kyaa milaa dasht mein aa kar tire divaane ko
ghar ke jaisaa hi agar jaagnaa sonaa hai yahaan
کیا ملا دشت میں آ کر ترے دیوانے کو
گھر کے جیسا ہی اگر جاگنا سونا ہے یہاں
क्या मिला दश्त में आ कर तिरे दीवाने को
घर के जैसा ही अगर जागना सोना है यहाँ

kam se kam duniyaa se itnaa miraa rishta ho jaae
koi meraa bhi buraa chaahne vaalaa ho jaae
kis tarah aae hain is pahli mulaaqaat talak
aur mukammal hai judaa hone ki tayyaari bhi
rukaa mahfil mein itni der tak main
ujaalon kaa buDhaapaa dekh aayaa
vo basti naa-khudaaon ki thi lekin
mile kuchh Dubne vaale vahaan bhi
jaise ye mez miTTi kaa haathi ye phuul
ek kone mein ham bhi hain rakkhe hue
vahaan iid kyaa vahaan diid kyaa
jahaan chaand raat na aai ho