Shayari
aisaa kuchh gardish-e-dauraan ne rakhaa hai masruf
maajare ho na sake ham se qalam-band apne
S
Siddiq Shahidnikal aae jo ham ghar se to sau raste nikal aae
abas thaa sochnaa ghar mein koi ghaibi ishaara ho
نکل آئے جو ہم گھر سے تو سو رستے نکل آئے
عبث تھا سوچنا گھر میں کوئی غیبی اشارہ ہو
निकल आए जो हम घर से तो सौ रस्ते निकल आए
अबस था सोचना घर में कोई ग़ैबी इशारा हो
aisaa kuchh gardish-e-dauraan ne rakhaa hai masruf
maajare ho na sake ham se qalam-band apne
mujh se kahti hain vo udaas aanhkein
zindagi bhar ki sab thakan yaan hai
khvaab TuuTe paDe hain sab mere
main huun aur hairaton kaa saamaan hai
us ke jaane pe ye ehsaas huaa hai 'shaahid'
vo jazira thaa miraa dukh se bhare paani mein
bajaa hai khvaab-navardi pa khvaab aaise hon
khule jo aankh to apnaa hi ghar khanDar na lage
kuchh aaise daur bhi taaham giraft mein aae
ki ye zamin rahi baaqi na aasamaan hi rahaa
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
aise milaa hai ham se shanaasaa kabhi na thaa
vo yuun badal hi jaaegaa sochaa kabhi na thaa
koi to hai 'munir' jise fikr hai miri
ye jaan kar ajiib si hairat hui mujhe
tujhe chhu kar mujhe kaisaa lagegaa
havaa ke haath ban kar sochtaa huun
mar jaataa huun jab ye sochtaa huun
main tere baghair ji rahaa huun