Shayari
kyaa lutf hai aise jiine kaa jis ki na kisi ko parvaa ho
kis kaam kaa marnaa vo marnaa jis kaa ki kisi ko gham na huaa
hai ye matlab gardish-e-ayyaam kaa
parda rakh le koshish-e-naakaam kaa
ہے یہ مطلب گردش ایام کا
پردہ رکھ لے کوشش ناکام کا
है ये मतलब गर्दिश-ए-अय्याम का
पर्दा रख ले कोशिश-ए-नाकाम का

kyaa lutf hai aise jiine kaa jis ki na kisi ko parvaa ho
kis kaam kaa marnaa vo marnaa jis kaa ki kisi ko gham na huaa
khaak uchhaalo jo zamin par to falak par gir jaae
ab khulaa ye ki bahut past hai himmat meri
vo raatein kaif mein Duubi vo teri pyaar ki baatein
nikal paDte hain aansu jab kabhi ham yaad karte hain
ai hasrat-e-dil go vasl huaa par shauq hamaaraa kam na huaa
jis se ki khalish kuchh aur baDhe vo zakhm huaa marham na huaa
vo kaun dil hai jahaan mein kah duun jise ki ye aap kaa nahin hai
ghazab to ye hai ki meraa dil hai magar miraa ham-navaa nahin hai
kyaa gham hai jo ham gumnaam rahe tum to na magar badnaam hue
achchhaa hai ki mere marne par duniyaa mein miraa maatam na huaa