Shayari
havaa bhi ishq ki lagne na detaa main use hargiz
agar is dil pe hotaa haae kuchh bhi ikhtiyaar apnaa
tak rahaa hai ye koi sone ki chiDiyaa aa phanse
daam-e-subha le ke zaahid girya-e-miskin ki tarah
تک رہا ہے یہ کوئی سونے کی چڑیا آ پھنسے
دام سبحہ لے کے زاہد گریۂ مسکیں کی طرح
तक रहा है ये कोई सोने की चिड़िया आ फँसे
दाम-ए-सुब्हा ले के ज़ाहिद गिर्या-ए-मिस्कीं की तरह

havaa bhi ishq ki lagne na detaa main use hargiz
agar is dil pe hotaa haae kuchh bhi ikhtiyaar apnaa
buraa na maaniyo main puchhtaa huun ai zaalim
ki be-kason ke sataae se kuchh bhalaa bhi hai
aataa nahin vo yaar-e-sitamgar to kyaa huaa
koi gham to us kaa dil se hamaare judaa nahin
aaine ko tiri surat se na ho kyuun kar hairat
dar o divaar tujhe dekh ke hairaan hai aaj
imaan o diin se 'taabaan' kuchh kaam nahin hai ham ko
saaqi ho aur mai ho duniyaa ho aur ham hon
le meri khabar chashm mire yaar ki kyun-kar
bimaar ayaadat kare bimaar ki kyun-kar