Sher
dekh qasid ko mire yaar ne puchha 'taban'
kya mire hijr men jiita hai vo ghamnak hanuz

Taban Abdul Hai
dekh qasid ko mire yaar ne puchha 'taban'
देख क़ासिद को मिरे यार ने पूछा 'ताबाँ'
khvan-e-falak pe ne.amat-e-alvan hai kahan
ख़्वान-ए-फ़लक पे नेमत-ए-अलवान है कहाँ
yahan yaar aur bardar koi nahin kisi ka
यहाँ यार और बरदार कोई नहीं किसी का
vo to sunta nahin kisi ki baat
वो तो सुनता नहीं किसी की बात
main to talib dil se hunga diin ka
मैं तो तालिब दिल से हूँगा दीन का
mujhe aata hai rona aisi tanha.i pe ai 'taban'
मुझे आता है रोना ऐसी तन्हाई पे ऐ 'ताबाँ'
dekh qasid ko mire yaar ne puchha 'taban'
kya mire hijr men jiita hai vo ghamnak hanuz
khvan-e-falak pe ne.amat-e-alvan hai kahan
khali hain mahr-o-mah ki dono rikabiyan
yahan yaar aur bardar koi nahin kisi ka
duniya ke biich 'taban' ham kis se dil lagaven
vo to sunta nahin kisi ki baat
us se main haal kya kahun 'taban'
main to talib dil se hunga diin ka
daulat-e-duniya mujhe matlub nahin
mujhe aata hai rona aisi tanha.i pe ai 'taban'
na yaar apna na dil apna na tan apna na jaan apna
havaa bhi ishq ki lagne na detaa main use hargiz
agar is dil pe hotaa haae kuchh bhi ikhtiyaar apnaa
buraa na maaniyo main puchhtaa huun ai zaalim
ki be-kason ke sataae se kuchh bhalaa bhi hai
aataa nahin vo yaar-e-sitamgar to kyaa huaa
koi gham to us kaa dil se hamaare judaa nahin
aaine ko tiri surat se na ho kyuun kar hairat
dar o divaar tujhe dekh ke hairaan hai aaj
imaan o diin se 'taabaan' kuchh kaam nahin hai ham ko
saaqi ho aur mai ho duniyaa ho aur ham hon
le meri khabar chashm mire yaar ki kyun-kar
bimaar ayaadat kare bimaar ki kyun-kar