Shayari
ye shahr apni isi haav-hu se zinda hai
tumhaari aur miri guftugu se zinda hai
khudaa vajud mein hai aadmi ke hone se
aur aadmi kaa tasalsul khudaa se qaaem hai
خدا وجود میں ہے آدمی کے ہونے سے
اور آدمی کا تسلسل خدا سے قائم ہے
ख़ुदा वजूद में है आदमी के होने से
और आदमी का तसलसुल ख़ुदा से क़ाएम है

ye shahr apni isi haav-hu se zinda hai
tumhaari aur miri guftugu se zinda hai
ye teraa divaana raat gae maalum nahin kyuun pahron tak
aansu ki lakiron se kitne naqsh-e-jazbaat banaae hai
use kahaan hamein qaidi banaa ke rakhnaa thaa
hamin ko shauq nahin thaa kabhi rihaai kaa
bahut mushkil thaa mujh ko raah kaa hamvaar kar denaa
to main ne tai kiyaa is dasht ko divaar kar denaa
aksar mire sheron ki sanaa karte rahe hain
vo log jo ghaalib ke taraf-daar nahin hain
vo ek lamha jise tum ne mukhtasar jaanaa
ham aaise lamhe mein ik daastaan banaate hain