Shayari
main apne bachpane mein chhu na paayaa jin khilaunon ko
unhi ke vaaste ab meraa beTaa bhi machaltaa hai
teri to aan baDh gai mujh ko navaaz kar
lekin miraa vaqaar ye imdaad khaa gai
تیری تو آن بڑھ گئی مجھ کو نواز کر
لیکن مرا وقار یہ امداد کھا گئی
तेरी तो आन बढ़ गई मुझ को नवाज़ कर
लेकिन मिरा वक़ार ये इमदाद खा गई

main apne bachpane mein chhu na paayaa jin khilaunon ko
unhi ke vaaste ab meraa beTaa bhi machaltaa hai
kitnaa buad hai mere fan aur peshe ke maabain
baahar daanish-var huun lekin mill mein oil-man
sab ki nigaah mein tire godaam aa gae
ab apne haathon maal ki taqsim kar na kar
dihaat ke vajud ko qasba nigal gayaa
qasbe kaa jism shahr ki buniyaad khaa gai
mill maalik ke kutte bhi charbile hain
lekin mazduron ke chehre piile hain
kabhi apne vasaael se na baDh kar khvaahishein paalo
vo paudaa TuuT jaataa hai jo laa-mahdud phaltaa hai