Shayari
har mulaaqaat pe siine se lagaane vaale
kitne pyaare hain mujhe chhoD ke jaane vaale
navaah-e-jaan mein baaham ek hairaani banaane mein
ba-zaahir do badan lagte hain uryaani banaane mein
نواح جاں میں باہم ایک حیرانی بنانے میں
بظاہر دو بدن لگتے ہیں عریانی بنانے میں
नवाह-ए-जाँ में बाहम एक हैरानी बनाने में
ब-ज़ाहिर दो बदन लगते हैं उर्यानी बनाने में

har mulaaqaat pe siine se lagaane vaale
kitne pyaare hain mujhe chhoD ke jaane vaale
ik lamha-e-firaaq pe vaaraa gayaa mujhe
kaisi hasin shaam mein maaraa gayaa mujhe
ik roz khel khel mein ham us ke ho gae
aur phir tamaam umr kisi ke nahin hue
us hijr pe tohmat ki jise vasl ki zid ho
us dard pe laanat ki jo ashaar mein aa jaae
itnaa hairaan na ho meri anaa par pyaare
ishq mein bhi kai khuddaar nikal aate hain
vo ek haath baDhaaegaa tujh ko paa legaa
so dekh sabr kaa elaan bhi ziyaada nahin