Shayari
ik lamha-e-firaaq pe vaaraa gayaa mujhe
kaisi hasin shaam mein maaraa gayaa mujhe
har mulaaqaat pe siine se lagaane vaale
kitne pyaare hain mujhe chhoD ke jaane vaale
ہر ملاقات پہ سینے سے لگانے والے
کتنے پیارے ہیں مجھے چھوڑ کے جانے والے
हर मुलाक़ात पे सीने से लगाने वाले
कितने प्यारे हैं मुझे छोड़ के जाने वाले

ik lamha-e-firaaq pe vaaraa gayaa mujhe
kaisi hasin shaam mein maaraa gayaa mujhe
ik roz khel khel mein ham us ke ho gae
aur phir tamaam umr kisi ke nahin hue
us hijr pe tohmat ki jise vasl ki zid ho
us dard pe laanat ki jo ashaar mein aa jaae
itnaa hairaan na ho meri anaa par pyaare
ishq mein bhi kai khuddaar nikal aate hain
ik din tiri gali mein mujhe le gai havaa
aur phir tamaam umr mujhe DhunDhti rahi
vo ek haath baDhaaegaa tujh ko paa legaa
so dekh sabr kaa elaan bhi ziyaada nahin
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq-e-mizhgaan mein hazaaron ne gale kaTvaae
id-e-qurbaan mein jo vo le ke chhuri baiTh gayaa
zamaana ishq ke maaron ko maat kyaa degaa
dilon ke khel mein ye jiit haar kuchh bhi nahin
badan malbus mein shoala saa ik larzaan qarin-e-jaan
dil-e-khaashaak bhi shoala huaa jaltaa rahaa main bhi
Thukraao ab ki pyaar karo main nashe mein huun
jo chaaho mere yaar karo main nashe mein huun