Shayari
uf gardish-e-hayaat tiri fitna-saaziyaan
apne vatan mein duur hain ahl-e-vatan se ham
ek muddat se isi uljhan mein huun
un ko yaa khud ko kise sajda karun
ایک مدت سے اسی الجھن میں ہوں
ان کو یا خود کو کسے سجدہ کروں
एक मुद्दत से इसी उलझन में हूँ
उन को या ख़ुद को किसे सज्दा करूँ

uf gardish-e-hayaat tiri fitna-saaziyaan
apne vatan mein duur hain ahl-e-vatan se ham
baad taklif ke raahat hai yaqini 'vaahid'
raat kaa aanaa hi paighaam-e-sahar hotaa hai
gul ghunche aaftaab shafaq chaand kahkashaan
aisi koi bhi chiiz nahin jis mein tu na ho
kisi ko be-sabab shohrat nahin milti hai ai 'vaahid'
unhin ke naam hain duniyaa mein jin ke kaam achchhe hain
aazaad to barson se hain arbaab-e-gulistaan
aai na magar taaqat-e-parvaaz abhi tak
shakhsiyyat-e-fankaar muamma nahin 'vaahid'
fan hi mein huaa kartaa hai fankaar kaa partav