Shayari
yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
baarish ki bahut tez havaa mein kahin mujh ko
darpesh thaa ik marhala jalne ki tarah kaa
بارش کی بہت تیز ہوا میں کہیں مجھ کو
درپیش تھا اک مرحلہ جلنے کی طرح کا
bārish kī bahut tez havā meñ kahīñ mujh ko
darpesh thā ik marhala jalne kī tarah kā

yuun mohabbat se na de meri mohabbat kaa javaab
ye sazaa sakht hai thoDi si riaayat kar de
yuun bhi hotaa hai ki yak dam koi achchhaa lag jaae
baat kuchh bhi na ho aur dil mein tamaashaa lag jaae
kyaa khabar jis kaa yahaan itnaa uDaate hain mazaaq
khud hamein bhi kabhi is rang mein Dhalnaa paD jaae
apni marzi se bhi ham ne kaam kar Daale hain kuchh
lafz ko laDvaa diyaa hai beshtar maani ke saath
haath pair aap hi main maar rahaa huun filhaal
Dubte ko abhi tinke kaa sahaaraa kam hai
raaste hain khule hue saare
phir bhi ye zindagi ruki hui hai
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
aate nahin hain dida-giryaan ke saamne
baadal bhi karte hain miri barsaat kaa lihaaz
tire kuche se judaa rote hain shab ko aashiq
aaj-kal baarish-e-shabnam hai chaman se baahar
ghaTaa dekh kar khush huiin laDkiyaan
chhaton par khile phuul barsaat ke
'abr' duniyaa ko chhoD jaane kaa
ik bahaana talaash karnaa hai
tumhaaraa dil mire dil ke baraabar ho nahin saktaa
vo shisha ho nahin saktaa ye patthar ho nahin saktaa