Shayari
jo baiThaa hai bagulaa bhagat ki tarah
vahi ham ko asli shikaari lage
khabar kar do mohalle mein agar chheDaa kisi ne bhi
usi dam main machaa saktaa huun qatl-e-aam roze mein
خبر کر دو محلے میں اگر چھیڑا کسی نے بھی
اسی دم میں مچا سکتا ہوں قتل عام روزے میں
ख़बर कर दो मोहल्ले में अगर छेड़ा किसी ने भी
उसी दम मैं मचा सकता हूँ क़त्ल-ए-आम रोज़े में

jo baiThaa hai bagulaa bhagat ki tarah
vahi ham ko asli shikaari lage
shauharon se bibayaan laDti hain chhaapa-maar jang
raabta un kaa bhi kyaa kashmir ki vaadi se hai
jo apnaa bhaai hai rahtaa hai vo paanv ki Thokar mein
magar joru kaa bhaai to gale kaa haar hotaa hai
pople munh se chane khaanaa nahin mumkin huzur
aa nahin sakti javaani lauT ke maajun se
ye rishvat ke hain paise din mein kaise luun musalmaan huun
main le saktaa nahin sar apne ye ilzaam roze mein
vahi suluk zamaane ne mere saath kiyaa
kiyaa thaa jaisaa musharraf ne be-nazir ke saath