Shayari
khushi se apnaa ghar aabaad kar ke
bahut roeinge tum ko yaad kar ke
zard chehre ko baDe shauq se sab dekhte hain
TuTne vaale hain sarsabz shajar se ham bhi
زرد چہرے کو بڑے شوق سے سب دیکھتے ہیں
ٹوٹنے والے ہیں سرسبز شجر سے ہم بھی
ज़र्द चेहरे को बड़े शौक़ से सब देखते हैं
टूटने वाले हैं सरसब्ज़ शजर से हम भी

khushi se apnaa ghar aabaad kar ke
bahut roeinge tum ko yaad kar ke
kisi din uqda-e-mushkil bhi khultaa
kabhi ham par bhi tum aasaan hote
jis ki kuchh taabir na ho
khvaab usi ko kahte hain
sadiyon mein koi ek mohabbat hoti hai
baaqi to sab khel tamaashaa hotaa hai
aur ehsaas-e-jihaalat baDh gayaa
kis qadar paDh likh ke jaahil ho gae
zamaane bhar ko hai ummid usi se
vo naa-ummid aisaa kar rahaa hai