Shayari
dekho vo bhi hain jo sab kah sakte the
dekho un ke munh par taale ab bhi hain
naqsh ki tarah ubharnaa bhi tumhi se sikhaa
rafta rafta nazar aanaa bhi tumhi se sikhaa
نقش کی طرح ابھرنا بھی تمہی سے سیکھا
رفتہ رفتہ نظر آنا بھی تمہی سے سیکھا
नक़्श की तरह उभरना भी तुम्ही से सीखा
रफ़्ता रफ़्ता नज़र आना भी तुम्ही से सीखा

dekho vo bhi hain jo sab kah sakte the
dekho un ke munh par taale ab bhi hain
uTho ki jashn-e-khizaan ham manaaein ji bhar ke
bahaar aae gulistaan mein kab khudaa jaane
jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho
ab mahfil yaaraan mein bhi tanhaai hai dekho
kahaan ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visaal
abhi to log taraste hain zindagi ke liye
divaanon ko ab vusat-e-sahraa nahin darkaar
vahshat ke liye saaya-e-divaar bahut hai
dekhte dekhte ik ghar ke rahne vaale
apne apne khaanon mein baT jaate hain