Shayari
naama-bar tu hi bataa tu ne to dekhe honge
kaise hote hain vo khat jin ke javaab aate hain

Qamar Badayuni
Qamar Badayuni
naama-bar tu hi bataa tu ne to dekhe honge
kaise hote hain vo khat jin ke javaab aate hain
kahun kuchh un se magar ye khayaal hotaa hai
shikaayaton kaa natija malaal hotaa hai
eid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm-e-duniyaa bhi hai mauqaa bhi hai dastur bhi hai