Shayari
parda-e-shab se nikalne kaa nahin letaa naam
aaj suraj hi saveraa nahin hone detaa

Qamar Rais Bahraichi
Qamar Rais Bahraichi
parda-e-shab se nikalne kaa nahin letaa naam
aaj suraj hi saveraa nahin hone detaa
apnon ke darmiyaan bhi ghuTan se lagi mujhe
rishton ki justuju ye kahaan le ke aa gai
main kaise maan luun vo masihaa-e-vaqt hai
kirdaar us kaa laaeq-e-dastaar bhi nahin
royaa tamaam umr vo shabnam ke saath saath
phir kyon kahun ki dard-e-gul-e-tar mein kuchh na thaa
meraa qaatil jo mire khuun se tar lagtaa hai
sar uThaae to hai sharminda magar lagtaa hai