Shayari
aTaa hai shahar baarudi dhuein se
saDak par chand bachche ro rahe hain
R
Rasikh IrfaniRasikh Irfani
Rasikh Irfani
aTaa hai shahar baarudi dhuein se
saDak par chand bachche ro rahe hain
kitnaa naadim huun kisi shakhs se shikva kar ke
mujh se dekhaa na gayaa us kaa pashemaan honaa
vo ahl-e-kahaf the jin ko ziyaa mili aakhir
miraa ye daur ki ab tak andheraa ghaar mein hai