Shayari
umr bhar jis ke liye peT se baandhe patthar
ab vo gin gin ke khilaataa hai nivaale mujh ko

Saleem Siddiqui
Saleem Siddiqui
umr bhar jis ke liye peT se baandhe patthar
ab vo gin gin ke khilaataa hai nivaale mujh ko
aaj rakkhe hain qadam us ne miri chaukhaT par
aaj dahliz miri chhat ke baraabar hui hai
kaun saa jurm khudaa jaane huaa hai saabit
mashvare kartaa hai munsif jo gunahgaar ke saath
beDiyaan Daal ke parchhaain ki pairon mein mire
qaid rakhte hain andheron mein ujaale mujh ko
kaj-kulaahi pe na maghrur huaa kar itnaa
sar utar aate hain shaahon ke bhi dastaar ke saath
khauf aankhon mein miri dekh ke chingaari kaa
kar diyaa raat ne suraj ke havaale mujh ko
aaj phir apni samaaat saunp di us ne hamein
aaj phir lahja hamaaraa ikhtiyaar us ne kiyaa
ik dhundlakaa huun zaraa der mein chhaT jaaungaa
main koi raat nahin huun jo sahar tak jaaun
ham ko baisaakhiyaan sanbhaale hain
paanv hote to laDkhaDaate ham
main ne roghan ki tijaarat to nahin ki lekin
shahr ke saare charaaghon ke nasab jaantaa huun
jabin ko chuum ke bas itni raushni rakh de
havaa charaagh bujhaae to mujh ko Dar na lage
apne jiine ke ham asbaab dikhaate hain tumhein
dosto aao ki kuchh khvaab dikhaate hain tumhein