Shayari
banaai ek hi donon ki surat kaahish-e-gham ne
gumaan hotaa hai taar-e-pairahan par jism-e-laaghar kaa
T
Taufeeq HyderabadiTaufeeq Hyderabadi
Taufeeq Hyderabadi
banaai ek hi donon ki surat kaahish-e-gham ne
gumaan hotaa hai taar-e-pairahan par jism-e-laaghar kaa
kiyaa hai aaj vaada kis ne aane kaa khudaa jaane
nazar aataa hai chashm-e-shauq darvaaza mire ghar kaa
sahar ke saath hogaa chaak meraa daaman-e-hasti
ba-rang-e-shama bazm-e-dahr mein mehmaan huun shab bhar kaa