Shayari
umr bhar jis ne kisi kaa hukm maanaa hi nahin
nafs kaa apne magar vo shakhs kaarinda rahaa

Zameer Atraulvi
Zameer Atraulvi
umr bhar jis ne kisi kaa hukm maanaa hi nahin
nafs kaa apne magar vo shakhs kaarinda rahaa
gharibi naam hai jis kaa azaab-e-jaan hoti hai
magar daulat ki kasrat mohlik-e-imaan hoti hai
koi bhukaa jo fart-e-zoaf se kuchh laDkhaDaa jaae
to duniyaa tanz kasti hai use mad-mast kahti hai
khuun ke jo rishte the ban gae azaab-e-jaan
ham ko dal ke rishton se istifaada pahunchaa hai
izn suraj ki kiran ko nahin jaane kaa jahaan
meri takhil kaa shaahin vahaan bhi pahunchaa
hazaaron zulm hon mazlum par to chup rahe duniyaa
agar mazlum kuchh bole to dahshat-gard kahti hai