SHAWORDS

aaj vo phuul banaa husn-e-dil-aaraa dekhaa — Ameen Rahat Chugtai

"aaj vo phuul banaa husn-e-dil-aaraa dekhaa sach huaa pichhle baras jo bhi kahaa thaa dekhaa dhyaan mein laae tasavvur mein basaayaa dekhaa itnaa hi ajnabi paayaa use jitnaa dekhaa kis vasile se bhalaa arz-e-tamannaa karte ham ne jis vaqt bhi dekhaa use tanhaa dekhaa kab se ehsaas pe ik bojh liye phirte hain kaash puchho ki bhari bazm mein kyaa kyaa dekhaa shaah-raahon ke ghane peD kaTe hain jab se chaunk uTThe hain jahaan apnaa bhi saayaa dekhaa dafatan aa gayaa phir Dubte suraj kaa khayaal shaam ke vaqt jo dariyaa kaa kinaaraa dekhaa"
Urdu

آج وہ پھول بنا حسن دل آرا دیکھا سچ ہوا پچھلے برس جو بھی کہا تھا دیکھا دھیان میں لائے تصور میں بسایا دیکھا اتنا ہی اجنبی پایا اسے جتنا دیکھا کس وسیلے سے بھلا عرض تمنا کرتے ہم نے جس وقت بھی دیکھا اسے تنہا دیکھا کب سے احساس پہ اک بوجھ لیے پھرتے ہیں کاش پوچھو کہ بھری بزم میں کیا کیا دیکھا شاہراہوں کے گھنے پیڑ کٹے ہیں جب سے چونک اٹھے ہیں جہاں اپنا بھی سایا دیکھا دفعتاً آ گیا پھر ڈوبتے سورج کا خیال شام کے وقت جو دریا کا کنارا دیکھا

Hindi

आज वो फूल बना हुस्न-ए-दिल-आरा देखा सच हुआ पिछले बरस जो भी कहा था देखा ध्यान में लाए तसव्वुर में बसाया देखा इतना ही अजनबी पाया उसे जितना देखा किस वसीले से भला अर्ज़-ए-तमन्ना करते हम ने जिस वक़्त भी देखा उसे तन्हा देखा कब से एहसास पे इक बोझ लिए फिरते हैं काश पूछो कि भरी बज़्म में क्या क्या देखा शाह-राहों के घने पेड़ कटे हैं जब से चौंक उठ्ठे हैं जहाँ अपना भी साया देखा दफ़अ'तन आ गया फिर डूबते सूरज का ख़याल शाम के वक़्त जो दरिया का किनारा देखा

aaj vo phuul banā husn-e-dil-ārā dekhā
Ameen Rahat Chugtai
Ameen Rahat Chugtai
Ameen Rahat Chugtai
poet22 quotes

More by Ameen Rahat Chugtai

View all →
Quote
"jab koi bhi khaaqaan sar-e-baam na hogaa phir ahl-e-zamin par koi ilzaam na hogaa kal vo hamein pahchaan na paae sar-e-raahe shaayad unhein ab ham se koi kaam na hogaa phir kaun samajh paaegaa asraar-e-haqiqat jab faisla koi bhi sar-e-aam na hogaa ye ahd-e-ravaan khaak-nishaan dhyaan mein rakkho phir DhunDoge kis ko jo koi naam na hogaa banne ko hai ik roz parindon kaa muqaddar utreinge to ham-rang-e-zamin daam na hogaa mahfil mein agar zikr ho arbaab-e-vafaa kaa aisaa nahin 'raahat' ki tiraa naam na hogaa"
Ameen Rahat ChugtaiAmeen Rahat Chugtai
Quote
"tirgi hi tirgi hai baam-o-dar mein kaun hai kuchh dikhaai de to batlaaein nazar mein kaun hai kyuun jalaataa hai mujhe vo aatish-e-ehsaas se main kahaan huun ye mire divaar-o-dar mein kaun hai zaat ke parde se baahar aa ke bhi tanhaa rahun main agar huun ajnabi to mere ghar mein kaun hai chaak kyuun hote hain pairaahan gulon ke kuchh kaho jhuk ke lahraataa huaa shaakh-e-samar mein kaun hai jaise koi paa gayaa ho apni manzil kaa suraagh dhuup mein baiThaa huaa raah-e-safar mein kaun hai kaanptaa jaa dekh kar izhaar ki tajsim ko sochtaa jaa aarzu-e-shisha-gar mein kaun hai bas zaraa biphri hui maujon ki khu maail rahi ahl-e-saahil jaante to the bhanvar mein kaun hai shor kartaa phir rahaa huun khushk patton ki tarah koi to puchhe ki shahr-e-be-khabar mein kaun hai main to divaana huun ik sang-e-malaamat hi sahi lekin itnaa soch lo shishe ke ghar mein kaun hai"
Ameen Rahat ChugtaiAmeen Rahat Chugtai
Quote
"hamin the jaan-e-bahaaraan hamin the rang-e-tarab hamin hain bazm-e-mai-o-gul mein aaj mohr-ba-lab vahi tujhe bhi nazar aae be-adab jo log faqih-e-shahr se uljhe tiri gali ke sabab khayaal-o-fikr ke phir silsile sulag na uThein ki chubh rahi hai dilon mein havaa-e-gesu-e-shab bas ek jaam ne rindon ki aabru rakh li vagarna kam na thaa vaaiz kaa shor-e-ghaiz-o-ghazab chalo kali ke tabassum kaa raaz puchh aaein gulon ke qaafile chal dein chaman se jaane kab abhi se dhaDkanein khaamosh hoti jaati hain ajiib hogaa samaan vo bhi tum na aaoge jab hamein hi taab-e-samaaat na ho saki 'raahat' fasaana-khvaan ne to chheDaa thaa zikr-e-ahd-e-tarab"
Ameen Rahat ChugtaiAmeen Rahat Chugtai
Quote
"manzil-e-shams-o-qamar se guzre jab tiri raahguzar se guzre shab ki gaati hui tanhaai mein kitne tufaan the jo sar se guzre vahin patjhaD ne paDaav Daalaa qaafile gul ke jidhar se guzre har taraf sabt hain qadmon ke nishaan koi kis raahguzar se guzre kis qadar khud pe hamein pyaar aayaa aaj jab apni nazar se guzre surkhi-e-gul se bhi chaunke gul-rukh vo zamaane bhi nazar se guzre dasht-o-sahraa kaa bhi daaman simTaa tere divaane jidhar se guzre khud-nigar ho gae 'raahat' ham bhi aaj vo kaash idhar se guzre"
Ameen Rahat ChugtaiAmeen Rahat Chugtai
Quote
"mire badan se kabhi aanch is tarah aae lipaT ke mujh se mire saath vo bhi jal jaae main aag huun to mire paas koi kyuun baiThe main raakh huun to koi kyuun kuredne aae bhare dayaar mein ab is ko kis tarah DhunDein havaa chale to kahin bu-ham-nafas aae ye raat aur rivaayaat ki ye zanjirein gali ke moD se do lauTte hue saae vahi badan vahi chehra vahi libaas magar koi kahaan se 'basaavan' kaa mu-qalam laae koi to baat hui hai ajiib si 'raahat' ki aaina bhi na vo chhoDe aur sharmaae"
Ameen Rahat ChugtaiAmeen Rahat Chugtai

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil