Quote
"zindagi yuun karein basar kab tak ham mileinge nahin magar kab tak tum ba-zaahir jo laa-taalluq ho aur ham tum se darguzar kab tak raaste raaste gumaan teraa aur tanhaa karun safar kab tak aah nikle na kab talak aakhir khuun hotaa rahe jigar kab tak aao dekhein ye hijr kaa sahraa aur kartaa hai dar-ba-dar kab tak ek ummid-e-vasl hai lekin ek ummid pe guzar kab tak"
