"mahaktaa huaa aaj saaraa chaman hai bahaaron kaa maskan miraa hi vatan hai gulon kaa jo nikhraa huaa saa badan hai 'ajab hai nazaakat ghazab baankpan hai sukhan kaa ye rasta bahut hi kaThin hai magar har sukhanvar isi mein magan hai to jaaun kahaan us gali se jo niklun kahin bhi rukun main usi ki lagan hai khaDe hain pareshaan yahaan par sabhi jo jahaan dekhte hain fazaa mein ghuTan hai ba-zaahir jo karte hain ulfat ki baatein unhi ke dilon mein hasad hai jalan hai 'hinaa' tum bataa do kahaan hai vo manzil ye rasta hai kaisaa ye kaisi thakan hai"
adu ke shahr mein kab be-asar huun — Hina Ambareen Tariq
"adu ke shahr mein kab be-asar huun khudaa kaa shukr hai jo mo'atabar huun sitaara huun ki main raushan qamar huun duaa maan ki hai jis kaa main samar huun bahaarein kyuun na phir se lauT aaein unhein maalum hai main bhi idhar huun isi sahraa se meri nisbatein hain jahaan kaa main hi ik vaahid shajar huun mohabbat jurm hai kis ne kahaa hai bataa do sab ko main dil mein agar huun balaa kaa hausla mujh ko milaa hai bahut dushvaar hai rasta jidhar huun jise sun kar sabhi hairaan hain kyuun tumhein lagtaa hai main aisi khabar huun dariche mein jo rakkhaa jal rahaa hai diyaa aisaa havaa ke dosh par huun bulandi chhu ke aauun aasmaan ki parinda huun sadaa mahv-e-safar huun tumhaare ahd ki huun munharif to sazaa mil kar rahegi baa-khabar huun"
عدو کے شہر میں کب بے اثر ہوں خدا کا شکر ہے جو معتبر ہوں ستارہ ہوں کہ میں روشن قمر ہوں دعا ماں کی ہے جس کا میں ثمر ہوں بہاریں کیوں نہ پھر سے لوٹ آئیں انہیں معلوم ہے میں بھی ادھر ہوں اسی صحرا سے میری نسبتیں ہیں جہاں کا میں ہی اک واحد شجر ہوں محبت جرم ہے کس نے کہا ہے بتا دو سب کو میں دل میں اگر ہوں بلا کا حوصلہ مجھ کو ملا ہے بہت دشوار ہے رستہ جدھر ہوں جسے سن کر سبھی حیران ہیں کیوں تمہیں لگتا ہے میں ایسی خبر ہوں دریچے میں جو رکھا جل رہا ہے دیا ایسا ہوا کے دوش پر ہوں بلندی چھو کے آؤں آسماں کی پرندہ ہوں سدا محو سفر ہوں تمہارے عہد کی ہوں منحرف تو سزا مل کر رہے گی با خبر ہوں
अदू के शहर में कब बे-असर हूँ ख़ुदा का शुक्र है जो मो'तबर हूँ सितारा हूँ कि मैं रौशन क़मर हूँ दुआ माँ की है जिस का मैं समर हूँ बहारें क्यूँ न फिर से लौट आएँ उन्हें मा'लूम है मैं भी इधर हूँ इसी सहरा से मेरी निस्बतें हैं जहाँ का मैं ही इक वाहिद शजर हूँ मोहब्बत जुर्म है किस ने कहा है बता दो सब को मैं दिल में अगर हूँ बला का हौसला मुझ को मिला है बहुत दुश्वार है रस्ता जिधर हूँ जिसे सुन कर सभी हैरान हैं क्यूँ तुम्हें लगता है मैं ऐसी ख़बर हूँ दरीचे में जो रक्खा जल रहा है दिया ऐसा हवा के दोश पर हूँ बुलंदी छू के आऊँ आसमाँ की परिंदा हूँ सदा महव-ए-सफ़र हूँ तुम्हारे अहद की हूँ मुन्हरिफ़ तो सज़ा मिल कर रहेगी बा-ख़बर हूँ

More by Hina Ambareen Tariq
View all →"kabhi bahaaron ke mausamon mein jo dil ki basti ghazal-saraa thi vahin kahin ek aarzu ke machalne ki bhi baDi kathaa thi jalaa ke jab saari kashtiyaan main samundaron ki bani ghizaa thi usi ghaDi to jabin-e-shab par likhi gai meri bhi duaa thi binaa sahaaron ke ziist mushkil guzaar aae to phir ye jaanaa ki main hi apne hasin chaman kaa zamin-e-nam thi shajar ghanaa thi mohabbatein bhi rifaaqatein bhi adaavatein aur nadaamatein bhi miraa asaasa main jaanti thi kahaan vafaa thi kahaan jafaa thi viraasaton ki kitaab kholi to naam meraa kahin nahin thaa main chup thi sochaa ki is mein shaayad mire qabile ki bhi razaa thi jalegaa dil to dhuaan uThegaa ye aag aise nahin bujhegi nagar nagar ye khabar pahunchti magar havaa ki ajab dishaa thi bahut pukaaraa thaa manzilon ne 'hinaa' mujhe un hi raaston se magar musalsal safar thaa meraa kahin na rukne mein hi baqaa thi"
"bayaan kyaa kijiye soz-e-darun ko daastaanon mein nikal ke tiir kab aate hain vaapas phir kamaanon mein hamaari soch ke baadal hain uDte aasmaanon mein karegi yaad ye duniyaa hamein aate zamaanon mein sabhi mil kar bichhaD jaaein agar gumnaam ho jaaein makin phir kis liye baste hain in unche makaanon mein rahe vahshat-zada ke saath to vahshat mili har dam vo hi vahshat rahi man mein sabhi mausam suhaanon mein churaa ke khvaab vo mere chalaa to ye khayaal aayaa qalam ki nok se likh duun alam ye sab lisaanon mein jo sach kahte hain vo hi jaavedaan rahte hain aalam mein chhupaayaa jaa nahin saktaa haqiqat ko fasaanon mein zamin sarsabz hai faslein bhi kaisi lahlahaati hain amir-e-shahr ne khirman jo baanTaa hai kisaanon mein vafaa ke naam par hargiz hinaa khaamosh mat rahnaa kabhi vo lauT aaeinge tumhaari daastaanon mein"
"koi basti nai ham tum kahin aabaad karte hain chalo aao koi rasta nayaa ijaad karte hain samundar ho ki sahraa ho gul-o-gulzaar ho chaahe ye ham hi log hain jo har nagar aabaad karte hain yahi khvaahish tumhaari hai ki tum ham se bichhaD jaao to phir jaao abhi se ham tumhein aazaad karte hain hamein to aarzu ye thi qafas ko toD Daalo tum magar tum ne kiyaa vo hi jo sab sayyaad karte hain mire har lafz mein yaarab bayaan ho haq faqat sach ho ataa di hai qalam ki to ye bhi fariyaad karte hain mohabbat mein jo haare ho to behtar hai palaT jaao dar-o-divaar-e-sang-o-baam sab hi yaad karte hain"
"vo agar aae to pur-nur samaan hotaa hai us ke aane se hi mausam ye javaan hotaa hai haal-e-dil kab ye nigaahon se bayaan hotaa hai raaz-e-ulfat na ye auron pe ayaan hotaa hai naa kabhi shor na hi aah-o-fughaan hotaa hai jo bhi hotaa hai faqat zer-e-zabaan hotaa hai yuun guzartaa hai mulaaqaat kaa har ik lamha jaise lamhaat kaa dariyaa ye ravaan hotaa hai raat sajti hai sitaaron mein koi hai bastaa har sitaare kaa koi ek makaan hotaa hai jaagti aankhon se main khvaab huun dekhaa karti meri nindon mein basaa ek jahaan hotaa hai"
"tere gulzaar ki khushbu se sajaa rahtaa hai mere darbaar kaa jo dar hai khulaa rahtaa hai har qadam saath rahaa karti hain yaadein teri dhyaan teraa hi dar-e-dil pe dharaa rahtaa hai vasvase yuun to Daraate hain andheron se magar meri raahon mein bhi ik diip jalaa rahtaa hai phir mukhaalif ko main dildaar banaaun kaise ab inaayaat kaa andaaz judaa rahtaa hai ik gharaanaa jo hai pahchaan mire hone ki un rivaayaat kaa ehsaas sadaa rahtaa hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"