SHAWORDS

ai shab-e-gham jo ham bhi ghar jaaein — Anjum Khayali

HomeAnjum KhayaliGhazal
"ai shab-e-gham jo ham bhi ghar jaaein shahr kis ke supurd kar jaaein kitni atraaf kitne raste hain ham akele kidhar kidhar jaaein ek hi ghar mein qaid hai sultaan ham bhikaari nagar nagar jaaein aankh jhapkin to itne arse mein jaane kitne baras guzar jaaein surat aisi bigaaD li apni vo hamein dekh lein to Dar jaaein"
Urdu

اے شب غم جو ہم بھی گھر جائیں شہر کس کے سپرد کر جائیں کتنی اطراف کتنے رستے ہیں ہم اکیلے کدھر کدھر جائیں ایک ہی گھر میں قید ہے سلطاں ہم بھکاری نگر نگر جائیں آنکھ جھپکیں تو اتنے عرصے میں جانے کتنے برس گزر جائیں صورت ایسی بگاڑ لی اپنی وہ ہمیں دیکھ لیں تو ڈر جائیں

Hindi

ऐ शब-ए-ग़म जो हम भी घर जाएँ शहर किस के सुपुर्द कर जाएँ कितनी अतराफ़ कितने रस्ते हैं हम अकेले किधर किधर जाएँ एक ही घर में क़ैद है सुल्ताँ हम भिकारी नगर नगर जाएँ आँख झपकीं तो इतने अर्से में जाने कितने बरस गुज़र जाएँ सूरत ऐसी बिगाड़ ली अपनी वो हमें देख लें तो डर जाएँ

ai shab-e-ġham jo ham bhī ghar jaa.eñ
Anjum Khayali
Anjum Khayali
Anjum Khayali
poet26 quotes

More by Anjum Khayali

View all →
Quote
"mire mazaar pe aa kar diye jalaaegaa vo mere baad miri zindagi mein aaegaa yahaan ki baat alag hai jahaan-e-digar se main kaise aaungaa mujh ko agar bulaaegaa mujhe hansi bhi mire haal par nahin aati vo khud bhi roegaa auron ko bhi rulaaegaa bichhaD ke is ko gae aaj tisraa din hai agar vo aaj na aayaa to phir na aaegaa faqih-e-shahr ke baare meri raae thi gunaahgaar hai patthar nahin uThaaegaa isi tarah dar-o-divaar tang hote rahe to koi apne liye ghar nahin baanegaa hamaare baad ye daar-o-rasan nahin honge hamaare baad koi sar nahin uThaaegaa"
Anjum KhayaliAnjum Khayali
Quote
"aazaar mire dil kaa dil-aazaar na ho jaae jo karb nihaan hai vo numudaar na ho jaae aavaaz bhi deti hai ki uTh jaag mere laal Darti bhi hai bachcha kahin bedaar na ho jaae jab tak main pahunchtaa huun kaDi dhuup mein chal kar divaar kaa saaya pas-e-divaar na ho jaae parda na sarak jaae kahin ai dil-e-betaab vo parda-nashin aur pur-asraar na ho jaae baDhtaa chalaa jaataa hai zamaane se taalluq ye silsila zanjir-e-giraan-baar na ho jaae aaraam se rahtaa hi nahin banda-e-be-daam jab tak kisi mushkil mein giraftaar na ho jaae"
Anjum KhayaliAnjum Khayali