"kuchh tasaavir bol paDti hain sab ki sab be-zabaan nahin hotin apni muTThi na bhinch kar rakkho titliyaan sakht-jaan nahin hotin laDkiyon mein bas ek khaami hai ye dobaara javaan nahin hotin"
aazaar mire dil kaa dil-aazaar na ho jaae — Anjum Khayali
"aazaar mire dil kaa dil-aazaar na ho jaae jo karb nihaan hai vo numudaar na ho jaae aavaaz bhi deti hai ki uTh jaag mere laal Darti bhi hai bachcha kahin bedaar na ho jaae jab tak main pahunchtaa huun kaDi dhuup mein chal kar divaar kaa saaya pas-e-divaar na ho jaae parda na sarak jaae kahin ai dil-e-betaab vo parda-nashin aur pur-asraar na ho jaae baDhtaa chalaa jaataa hai zamaane se taalluq ye silsila zanjir-e-giraan-baar na ho jaae aaraam se rahtaa hi nahin banda-e-be-daam jab tak kisi mushkil mein giraftaar na ho jaae"
آزار مرے دل کا دل آزار نہ ہو جائے جو کرب نہاں ہے وہ نمودار نہ ہو جائے آواز بھی دیتی ہے کہ اٹھ جاگ میرے لعل ڈرتی بھی ہے بچہ کہیں بیدار نہ ہو جائے جب تک میں پہنچتا ہوں کڑی دھوپ میں چل کر دیوار کا سایہ پس دیوار نہ ہو جائے پردہ نہ سرک جائے کہیں اے دل بے تاب وہ پردہ نشیں اور پر اسرار نہ ہو جائے بڑھتا چلا جاتا ہے زمانے سے تعلق یہ سلسلہ زنجیر گراں بار نہ ہو جائے آرام سے رہتا ہی نہیں بندۂ بے دام جب تک کسی مشکل میں گرفتار نہ ہو جائے
आज़ार मिरे दिल का दिल-आज़ार न हो जाए जो कर्ब निहाँ है वो नुमूदार न हो जाए आवाज़ भी देती है कि उठ जाग मेरे लाल डरती भी है बच्चा कहीं बेदार न हो जाए जब तक मैं पहुँचता हूँ कड़ी धूप में चल कर दीवार का साया पस-ए-दीवार न हो जाए पर्दा न सरक जाए कहीं ऐ दिल-ए-बेताब वो पर्दा-नशीं और पुर-असरार न हो जाए बढ़ता चला जाता है ज़माने से तअल्लुक़ ये सिलसिला ज़ंजीर-ए-गिराँ-बार न हो जाए आराम से रहता ही नहीं बंदा-ए-बे-दाम जब तक किसी मुश्किल में गिरफ़्तार न हो जाए

More by Anjum Khayali
View all →"hansi mein Taal to detaa huun aksar magar main khush nahin barbaad ho kar koi martaa nahin zabt-e-fughaan se zaraa saa daagh paD jaataa hai dil par likhi hai reg-e-saahil par jo main ne vo chiTThi paDh nahin saktaa samundar jahaan ham hain vahaan sab daaere hain kisi kaa koi markaz hai na mehvar mujhe jaanaa hai vaapas baadalon mein nahin honaa mujhe qatre se gauhar mujhe kuchh der ruknaa chaahiye thaa vo shaayad dekh hi letaa palaT kar"
"koi tohmat ho mire naam chali aati hai jaise baazaar mein har ghar se gali aati hai tiri yaad aati hai ab koi kahaani ban kar yaa kisi nazm ke saanche mein Dhali aati hai ab bhi pahle ki tarah pesh-rav-e-rang-o-sadaa ek munh-band si be-rang kali aati hai chal ke dekhein to sahi kaun hai ye dukhtar-e-raz roz-e-avval se jo bad-naam chali aati hai ye mire karb kaa aalam rahe yaarab aabaad is zamin se bu-e-aulaad-e-'ali' aati hai"
"mire mazaar pe aa kar diye jalaaegaa vo mere baad miri zindagi mein aaegaa yahaan ki baat alag hai jahaan-e-digar se main kaise aaungaa mujh ko agar bulaaegaa mujhe hansi bhi mire haal par nahin aati vo khud bhi roegaa auron ko bhi rulaaegaa bichhaD ke is ko gae aaj tisraa din hai agar vo aaj na aayaa to phir na aaegaa faqih-e-shahr ke baare meri raae thi gunaahgaar hai patthar nahin uThaaegaa isi tarah dar-o-divaar tang hote rahe to koi apne liye ghar nahin baanegaa hamaare baad ye daar-o-rasan nahin honge hamaare baad koi sar nahin uThaaegaa"
"ai shab-e-gham jo ham bhi ghar jaaein shahr kis ke supurd kar jaaein kitni atraaf kitne raste hain ham akele kidhar kidhar jaaein ek hi ghar mein qaid hai sultaan ham bhikaari nagar nagar jaaein aankh jhapkin to itne arse mein jaane kitne baras guzar jaaein surat aisi bigaaD li apni vo hamein dekh lein to Dar jaaein"
"aa hijr kaa Dar nikaalte hain raste se safar nikaalte hain ab aankhein nahin nikaali jaatin aankhon se nazar nikaalte hain peDon mein rah ke bhi parinde patte nahin par nikaalte hain afsos ke ghota-zan hamaare ujrat pe guhar nikaalte hain pattharon mein kahin to hai vo surat jo ahl-e-hunar nikaalte hain"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"