Quote
"Dare hue hain sabhi log abr chhaane se vo aai baam pe kyaa dhuup ke bahaane se vo qissa-go to bahut jald-baaz aadmi thaa bahut si lakDiyaan ham rah gae jalaane se nazar to Daal ravaani ki istaqaamat par ye aabshaar hai kohsaar ke gharaane se mosaafiraan-e-mohabbat mujhe muaaf karein main baaz aayaa unhein raasta dikhaane se agar main aakhiri baazi na kheltaa 'azhar' to khaali haath na aataa qimaar-khaane se"
