SHAWORDS

raat ki aaghosh se maanus itne ho gae — Azhar Faragh

HomeAzhar FaraghGhazal
"raat ki aaghosh se maanus itne ho gae raushni mein aae to ham log andhe ho gae aanganon mein dafn ho kar rah gai hain khvaahishein haath piile hote hote rang piile ho gae bhiiD mein gum ho gae ham apni ungli chhoD kar munfarid hone ki dhun mein auron jaise ho gae zinda rahne ke liye kuchh be-hisi darkaar thi sochte rahne se bhi kuchh zakhm gahre ho gae is liye mohtaat huun apni numudaari se main phal to phal mujh peD ke patte bhi miThe ho gae"
Urdu

رات کی آغوش سے مانوس اتنے ہو گئے روشنی میں آئے تو ہم لوگ اندھے ہو گئے آنگنوں میں دفن ہو کر رہ گئی ہیں خواہشیں ہاتھ پیلے ہوتے ہوتے رنگ پیلے ہو گئے بھیڑ میں گم ہو گئے ہم اپنی انگلی چھوڑ کر منفرد ہونے کی دھن میں اوروں جیسے ہو گئے زندہ رہنے کے لئے کچھ بے حسی درکار تھی سوچتے رہنے سے بھی کچھ زخم گہرے ہو گئے اس لئے محتاط ہوں اپنی نموداری سے میں پھل تو پھل مجھ پیڑ کے پتے بھی میٹھے ہو گئے

Hindi

रात की आग़ोश से मानूस इतने हो गए रौशनी में आए तो हम लोग अंधे हो गए आँगनों में दफ़्न हो कर रह गई हैं ख़्वाहिशें हाथ पीले होते होते रंग पीले हो गए भीड़ में गुम हो गए हम अपनी उँगली छोड़ कर मुनफ़रिद होने की धुन में औरों जैसे हो गए ज़िंदा रहने के लिए कुछ बे-हिसी दरकार थी सोचते रहने से भी कुछ ज़ख़्म गहरे हो गए इस लिए मोहतात हूँ अपनी नुमूदारी से मैं फल तो फल मुझ पेड़ के पत्ते भी मीठे हो गए

raat kī āġhosh se mānūs itne ho ga.e
Azhar Faragh
Azhar Faragh
Azhar Faragh
poet69 quotes

More by Azhar Faragh

View all →
Quote
"us lab ki khaamushi ke sabab TuTtaa huun main dast-e-duaa mein rakkhaa huaa aaina huun main ab jaa ke ho sakegi mohabbat vasuq se khud se bichhaDte vaqt kisi se milaa huun main aabaad hai khazaane ki afvaah se vajud matruk jangalon kaa koi raasta huun main dastaar kaaghzi hai fazilat hai naam ki chhoTon ki mehrbaani se ghar mein baDaa huun main ro kar na soyaa jaae to kyaa niind kaa javaaz bistar ki har shikan mein paDaa jaagtaa huun main huun apni raushni ki aziyyat mein mubtalaa jaltaa huaa charaagh huun ulTaa paDaa huun main"
Azhar FaraghAzhar Faragh
Quote
"tire baad koi bhi gham asar nahin kar sakaa koi saaneha miri aankh tar nahin kar sakaa mujhe ilm thaa mujhe kam paDegi ye raushni so main inhisaar charaagh par nahin kar sakaa mujhe jhuuT ke vo javaaz pesh kiye gae kisi baat par main agar-magar nahin kar sakaa mujhe chaal chalne mein der ho gai aur main koi ek mohra idhar-udhar nahin kar sakaa kai paikaron ko mire khayaal ne shakl di jinhein runumaa miraa kuza-gar nahin kar sakaa mire aas-paas ki muflisi miri maazarat tiraa intizaam main apne ghar nahin kar sakaa"
Azhar FaraghAzhar Faragh
Quote
"bhanvar se ye jo mujhe baadbaan khinchtaa hai zarur koi havaaon ke kaan khinchtaa hai kisi badan ki siyaahat niDhaal karti hai kisi ke haath kaa takiya thakaan khinchtaa hai nashist ke to talabgaar hi nahin ham log hamaare paanv se kyuun paaedaan khinchtaa hai badal ke dekh chuki hai reaayaa saahib-e-takht jo sar qalam nahin kartaa zabaan khinchtaa hai dikhaa rahaa hai kharidaar ban ke aaj mujhe jise lapeT ke rakkhun vo thaan khinchtaa hai charaaghon mein vo charaagh is liye numaayaan hai ham aise dekhne vaalon kaa dhyaan khinchtaa hai ye saaraa jhagDaa tire inhimaak kaa hi to hai sameTtaa hai koi daastaan khinchtaa hai"
Azhar FaraghAzhar Faragh

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri