SHAWORDS

band kamre mein dam na ghuT jaae — Izhar Warsi

HomeIzhar WarsiGhazal
"band kamre mein dam na ghuT jaae khiDkiyaan khol do havaa aae aa ke suraj saron pe baiTh gayaa chhup gae hain badan badan saae itnaa dam to kisi diye mein nahin kaun paagal havaa ko Thahraae kyaa karein le ke aisi baarish ko rang phulon kaa jis mein dhul jaae kabhi tujh ko bhi bhulnaa chaahun koi shaitaan hai jo bahkaae dasht-e-jaan par baras rahe hain rang ek aanchal fazaa mein lahraae qaid zindaan-e-khaamushi mein koi khud bhi taDpe mujhe bhi taDpaae"
Urdu

بند کمرے میں دم نہ گھٹ جائے کھڑکیاں کھول دو ہوا آئے آ کے سورج سروں پہ بیٹھ گیا چھپ گئے ہیں بدن بدن سائے اتنا دم تو کسی دئے میں نہیں کون پاگل ہوا کو ٹھہرائے کیا کریں لے کے ایسی بارش کو رنگ پھولوں کا جس میں دھل جائے کبھی تجھ کو بھی بھولنا چاہوں کوئی شیطان ہے جو بہکائے دشت جاں پر برس رہے ہیں رنگ ایک آنچل فضا میں لہرائے قید زندان خامشی میں کوئی خود بھی تڑپے مجھے بھی تڑپائے

Hindi

बंद कमरे में दम न घुट जाए खिड़कियाँ खोल दो हवा आए आ के सूरज सरों पे बैठ गया छुप गए हैं बदन बदन साए इतना दम तो किसी दिए में नहीं कौन पागल हवा को ठहराए क्या करें ले के ऐसी बारिश को रंग फूलों का जिस में धुल जाए कभी तुझ को भी भूलना चाहूँ कोई शैतान है जो बहकाए दश्त-ए-जाँ पर बरस रहे हैं रंग एक आँचल फ़ज़ा में लहराए क़ैद ज़िंदान-ए-ख़ामुशी में कोई ख़ुद भी तड़पे मुझे भी तड़पाए

band kamre meñ dam na ghuT jaa.e
Izhar Warsi
Izhar Warsi
Izhar Warsi
poet9 quotes

More by Izhar Warsi

View all →
Quote
"shikasta khvaabon kaa aankhon se raabta kar lein har ek shab kaa taqaazaa ki rat-jagaa kar lein lagaaein bhiiD gae zard-o-sabz lamhon ki aur us hujum mein phir khud ko laapata kar lein vagarna jiine na degaa gham-e-hayaat kaa zahr kisi ke bhule hue gham kaa phir nasha kar lein kuchh ehtijaaj bhi rakkhein sharik-e-zabt-e-sitam zabaan hai gung to chehra savaaliya kar lein vo zakhm dast-e-talab ho ki ho gul-e-shaadaab vo kuchh to degaa hamin 'arz-e-mudda'aa kar lein nazar hai teri tavajjoh ke har tarashshoh par paDe phuvaar to zakhmon ko phir haraa kar lein dikhaai dene lagaa rukh pe rang-e-baatin bhi bahut qarib hain ham thoDaa faasla kar lein"
Izhar WarsiIzhar Warsi
Quote
"yaadon mein rang bhar rahaa huun zakhmon ko gulaab kar rahaa huun har saans ek an-suni si aahaT main jaane kis pe mar rahaa huun duniyaaein vajud paa rahi hain reza reza bikhar rahaa huun ik lamha-e-gum-shuda ki khaatir sadiyon kaa hisaab kar rahaa huun maqsud-e-safar hai kuchh to aisaa sho'lon se jo guzar rahaa huun hai ek junun-e-khud-shanaasi aksar apne hi sar rahaa huun tufaan guzar chukaa hai kab kaa ab dariyaa saa utar rahaa huun rishte mazbut ho rahe hain peshaaniyon par ubhar rahaa huun thaa fakhr bahut falak-rasi par khud apne par ab katar rahaa huun"
Izhar WarsiIzhar Warsi
Quote
"aasmaanon saa khulaa-pan bhi mujhe chaahiye hai paanv thak jaaein to maskan bhi mujhe chaahiye hai dosto tum se umidein to bahut kuchh thiin par ab ek maaqul saa dushman bhi mujhe chaahiye hai qabl-e-manzil kahin luT jaane ki hasrat hai bahut raahbar hi nahin rahzan bhi mujhe chaahiye hai masale kam nahin vaise hi sulajhne ke liye aur tiri zulf ki uljhan bhi mujhe chaahiye hai vaqt ke saath badalti nahin tahrir-e-nihaad titliyaan dekhun to bachpan bhi mujhe chaahiye hai ab to is shart pe chaahun main tire husn ki aanch aag lag jaae to saavan bhi mujhe chaahiye hai"
Izhar WarsiIzhar Warsi
Quote
"lamha lamha dastak de kar taDpaataa hai jaane kaun raat gae man-darvaaze par aa jaataa hai jaane kaun apni saanson ki khushbu ko ghol ke meri saanson mein meraa suunaa jivan-aangan mahkaataa hai jaane kaun ik anjaane haath ko aksar shaane par mahsus karun mujh se duur hi rah kar mujh ko apnaataa hai jaane kaun aankhein to parbat ke pichhe chhupte chaand ko dekhein bas us manzar ki oT mein lekin sharmaataa hai jaane kaun dhuup mein dasht-e-tanhaai ki mere jalte honTon ko lams apne gul-barg lab kaa de jaataa hai jaane kaun apne paraae chhuT gae sab aas-khilaune TuuT gae phir bhi ziddi man-baalak ko bahlaataa hai jaane kaun yaksaan tevar yaksaan chehre sab hi dukh dene vaale lekin is basti mein bhi ik sukh-daataa hai jaane kaun"
Izhar WarsiIzhar Warsi