SHAWORDS

bas yunhi aankhein ashk-aavar hain — Bedil Haidari

HomeBedil HaidariGhazal
"bas yunhi aankhein ashk-aavar hain varna ham kaun se samundar hain meri ghazlein sabhi tumhi par hain saare paikar tumhaare paikar hain morcha-band hai sipaah-e-'adu aur ham damdamon se baahar hain khushk-saali kaa saal thaa pichhlaa aur is saal baarishein sar hain kyaa karoge mazid nahlaa kar ham to pahle hi khuun mein tar hain ham se ummid-e-rahbari mat rakh ham munaafiq sadi ke rahbar hain 'be-dil' ab un ko kyaa kahaa jaae apni auqaat se jo baahar hain"
Urdu

بس یونہی آنکھیں اشک آور ہیں ورنہ ہم کون سے سمندر ہیں میری غزلیں سبھی تمہی پر ہیں سارے پیکر تمہارے پیکر ہیں مورچہ بند ہے سپاہ عدو اور ہم دمدموں سے باہر ہیں خشک سالی کا سال تھا پچھلا اور اس سال بارشیں سر ہیں کیا کرو گے مزید نہلا کر ہم تو پہلے ہی خون میں تر ہیں ہم سے امید رہبری مت رکھ ہم منافق صدی کے رہبر ہیں بیدلؔ اب ان کو کیا کہا جائے اپنی اوقات سے جو باہر ہیں

Hindi

बस यूँही आँखें अश्क-आवर हैं वर्ना हम कौन से समुंदर हैं मेरी ग़ज़लें सभी तुम्ही पर हैं सारे पैकर तुम्हारे पैकर हैं मोरचा-बंद है सिपाह-ए-'अदू और हम दमदमों से बाहर हैं ख़ुश्क-साली का साल था पिछ्ला और इस साल बारिशें सर हैं क्या करोगे मज़ीद नहला कर हम तो पहले ही ख़ून में तर हैं हम से उम्मीद-ए-रहबरी मत रख हम मुनाफ़िक़ सदी के रहबर हैं 'बे-दिल' अब उन को क्या कहा जाए अपनी औक़ात से जो बाहर हैं

bas yūñhī āñkheñ ashk-āvar haiñ
Bedil Haidari
Bedil Haidari
Bedil Haidari
poet42 quotes

More by Bedil Haidari

View all →
Quote
"bahne lage to palkon se laf kar diyaa gayaa phir aansuon ko durr-e-najaf kar diyaa gayaa kuchh qahqahon ki guunj falak tak sunaai di kuchh siskiyon ko taabe'-e-daf kar diyaa gayaa jin ungliyon ke zakhm abhi tak nahin bhare taarikh se unhi ko hazaf kar diyaa gayaa dasht-e-badan ki pyaas bujhaani thi is liye ashkon ke rukh ko dil ki taraf kar diyaa gayaa gharqaab log jab na samundar pahunch sake tughyaaniyon ko laash-ba-kaf kar diyaa gayaa utraa javaan aankh mein jaise hi motiyaa aankhon ki putliyon ko sadaf kar diyaa gayaa 'be-dil' mahaaz-e-jang se lauTe jo lashkari saari safon ko ek hi saf kar diyaa gayaa"
Bedil HaidariBedil Haidari
Quote
"giri jo barq chaman ko tajalliyaan bhi milin aur us ke saath parindon ki boTiyaan bhi milin vo jis makaan se mili kotvaal-e-shahr ki laash vahin se TuuTi hui chand chuDiyaan bhi milin nikaalin bachchon ki laashein jo ham ne malbe se na sirf baste mile balki takhtiyaan bhi milin zabaanein kaaT ke us ne jahaan chhupaa di thiin vahaan se ahl-e-qalam ki kuchh ungliyaan bhi milin ye aur baat bari kar diyaa gayaa qaatil agarche qatl ki vaazeh nishaaniyaan bhi milin ki jaise qaaf ki vaadi mein aa gae 'be-dil' musaafirat mein hamein aisi bastiyaan bhi milin"
Bedil HaidariBedil Haidari
Quote
"us kaa paikar miri sochon ne taraashaa kaise mahv-e-hairat huun qarib itnaa vo aayaa kaise chalte tufaan mein parindon ko panaahein de kar le liyaa mol darakhton ne ye khatra kaise jab kisi shaam ko ghar aataa huun khaali haathon dekhtaa hai mire munh ko miraa bachcha kaise kal andheron se rihaai ki du'aa maangi thi ab ye tashvish ki rukhsat ho ujaalaa kaise main to khud apni hadon ko bhi nahin chhu saktaa tu khudaa ho ke mire zehn mein aayaa kaise haadson ne mujhe kar Daalaa thaa reza reza main simaTtaa bhi jo 'be-dil' to simaTtaa kaise"
Bedil HaidariBedil Haidari
Quote
"miri daastaan-e-alam to sun koi zalzala nahin aaegaa miraa muddaaa nahin aaegaa tiraa tazkira nahin aaegaa kai ghaaTiyon pe muhit hai miri zindagi ki ye rahguzar tiri vaapsi bhi hui agar tujhe raasta nahin aaegaa agar aae dasht mein jhel to mujhe ehtiyaat se pheinknaa ki main barg-e-khushk huun dosto mujhe tairnaa nahin aaegaa agar aae din tiri raah mein tiri khoj mein tiri chaah mein yunhi qaafile jo luTaa kiye koi qaafila nahin aaegaa kahin intihaa ki malaamatein kahin pattharon se aTi chhatein tire shahr mein mire baad ab koi sar-phiraa nahin aaegaa koi intizaar kaa faaeda mire yaar 'bedil'-e-gham-zada tujhe chhoD kar jo chalaa gayaa nahin aaegaa nahin aaegaa"
Bedil HaidariBedil Haidari

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari