SHAWORDS

daad bhi suntaa hai tu suntaa hai tu fariyaad bhi — Dharm Devi

HomeDharm DeviGhazal
"daad bhi suntaa hai tu suntaa hai tu fariyaad bhi vaqt-e-mushkil tu hi kartaa hai miri imdaad bhi jaal mein phansnaa na hargiz ye tilismi baagh hai daam le kar hai yahaan baiThaa huaa sayyaad bhi aap ki jalvagari har su numaayaan dekh li kar diyaa viraan jis ko phir kiyaa aabaad bhi aap ki bhakti na jab tak ho to kyaa haasil mujhe qaid-e-duniyaa se agar ho jaaun main aazaad bhi"
Urdu

داد بھی سنتا ہے تو سنتا ہے تو فریاد بھی وقت مشکل تو ہی کرتا ہے مری امداد بھی جال میں پھنسنا نہ ہرگز یہ طلسمی باغ ہے دام لے کر ہے یہاں بیٹھا ہوا صیاد بھی آپ کی جلوہ گری ہر سو نمایاں دیکھ لی کر دیا ویران جس کو پھر کیا آباد بھی آپ کی بھکتی نہ جب تک ہو تو کیا حاصل مجھے قید دنیا سے اگر ہو جاؤں میں آزاد بھی

Hindi

दाद भी सुनता है तू सुनता है तू फ़रियाद भी वक़्त-ए-मुश्किल तू ही करता है मिरी इमदाद भी जाल में फँसना न हरगिज़ ये तिलिस्मी बाग़ है दाम ले कर है यहाँ बैठा हुआ सय्याद भी आप की जल्वागरी हर सू नुमायाँ देख ली कर दिया वीरान जिस को फिर किया आबाद भी आप की भक्ती न जब तक हो तो क्या हासिल मुझे क़ैद-ए-दुनिया से अगर हो जाऊँ मैं आज़ाद भी

daad bhī suntā hai tū suntā hai tū fariyād bhī
D
Dharm Devi
Dharm Devi
poet1 quotes

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari