"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne — Naeem Sameer
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
بستر کرب پہ جب نیند جلائی میں نے تب کسی خواب کی بنیاد اٹھائی میں نے زخم ایسے تھے کہ ہر شخص کے آگے رکھے بات ایسی تھی کہ خود سے بھی چھپائی میں نے حرمت غم کے لئے خود کو اذیت بخشی پھر اسی درد سے تسکین بھی پائی میں نے میں نے زخموں کو کریدا انہیں تازہ رکھا تب کہیں دشت میں کی نغمہ سرائی میں نے اپنی کھڑکی سے یوں ہی خود کو پکارا کل شب اور پھر خود کو وہ آواز سنائی میں نے جانے والے سے رگ جاں کا بھی رشتہ تھا سمیرؔ یہ سمجھنے میں بہت دیر لگائی میں نے
बिस्तर-ए-कर्ब पे जब नींद जलाई मैं ने तब किसी ख़्वाब की बुनियाद उठाई मैं ने ज़ख़्म ऐसे थे कि हर शख़्स के आगे रक्खे बात ऐसी थी कि ख़ुद से भी छुपाई मैं ने हुरमत-ए-ग़म के लिए ख़ुद को अज़िय्यत बख़्शी फिर उसी दर्द से तस्कीन भी पाई मैं ने मैं ने ज़ख़्मों को कुरेदा उन्हें ताज़ा रक्खा तब कहीं दश्त में की नग़्मा-सराई मैं ने अपनी खिड़की से यूँही ख़ुद को पुकारा कल शब और फिर ख़ुद को वो आवाज़ सुनाई मैं ने जाने वाले से रग-ए-जाँ का भी रिश्ता था 'समीर' ये समझने में बहुत देर लगाई मैं ने
More by Naeem Sameer
View all →"kis tayaqqun talak gae ham log phir bhi ai dil bhaTak gae ham log misl-e-dariyaa mili thi sairaabi misl-e-saahil bilak gae ham log yunhi ik din safar kiyaa aaghaaz yunhi ik roz thak gae ham log ehtimaaman hue the ham-aaghosh ehtiyaatan bahak gae ham log ek khushbu chaman mein laai thi aur sahraa talak gae ham log nuur thaa yaa vo ik badan thaa 'samir' us ko chhu kar chamak gae ham log"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
"kuchh dil-nashin yaadein bhi hain kuchh dard kaa rishta bhi hai main kis tarah bhulon use vo umr kaa hissa bhi hai gham mein khushi ki lahr kyon aasudgi mein zahr kyon is soch mein dariyaa bhi hai is fikr mein sahraa bhi hai vo vahm ki tahrir hai vo khvaab ki tasvir hai main ne use dekhaa nahin main ne use dekhaa bhi hai kab tak main apne aap se laDtaa rahun laDtaa rahun main aakhirash insaan huun insaan to thaktaa bhi hai nafrat kisi ki yaad se vahshat khud apne aap se vaise to yuun hotaa nahin lekin kabhi hotaa bhi hai ab to 'samir' is dasht mein rahnaa hai mujh ko umr bhar ye aakhiri manzil nahin ye aakhiri rasta bhi hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"