SHAWORDS

dard ki raushni mein rahte hain — Irfan Khan

HomeIrfan KhanGhazal
"dard ki raushni mein rahte hain ham zaraa saadgi mein rahte hain vo miri aankh mein nami ki tarah ham bhi us ki khushi mein rahte hain us se izhaar ho nahin paataa haan nahin phir kabhi mein rahte hain jis mein vo thaa kabhi hamaare saath ham usi zindagi mein rahte hain"
Urdu

درد کی روشنی میں رہتے ہیں ہم ذرا سادگی میں رہتے ہیں وہ مری آنکھ میں نمی کی طرح ہم بھی اس کی خوشی میں رہتے ہیں اس سے اظہار ہو نہیں پاتا ہاں نہیں پھر کبھی میں رہتے ہیں جس میں وہ تھا کبھی ہمارے ساتھ ہم اسی زندگی میں رہتے ہیں

Hindi

दर्द की रौशनी में रहते हैं हम ज़रा सादगी में रहते हैं वो मिरी आँख में नमी की तरह हम भी उस की ख़ुशी में रहते हैं उस से इज़हार हो नहीं पाता हाँ नहीं फिर कभी में रहते हैं जिस में वो था कभी हमारे साथ हम उसी ज़िंदगी में रहते हैं

dard kī raushnī meñ rahte haiñ
Irfan Khan
Irfan Khan
Irfan Khan
poet9 quotes