Quote
"dard ki raushni mein rahte hain ham zaraa saadgi mein rahte hain vo miri aankh mein nami ki tarah ham bhi us ki khushi mein rahte hain us se izhaar ho nahin paataa haan nahin phir kabhi mein rahte hain jis mein vo thaa kabhi hamaare saath ham usi zindagi mein rahte hain"
