"jaan ik zarbat-e-shamshir-e-do-dam aur sahi tan-e-sad-chaak pe duniyaa ke sitam aur sahi taaqat-e-jumbish-e-yak-gaam nahin hai lekin tere kuche ki taraf ek qadam aur sahi hain mire dil ko bahut dard mayassar phir bhi aap ki yaad kaa ik dast-e-karam aur sahi saans baaqi hai so chaltaa hi chalaa jaaungaa ju-e-gham aur sahi zor-e-sitam aur sahi phir hui jaati hai paidaa havas-e-sajda-e-shauq dil ke mandir mein koi taaza sanam aur sahi koi naqqaad na Thahraa mire aage 'kaazim' mudda'aa yuun hai ki ik shaikh-e-haram aur sahi"
dasht mein phuul ugaane kaa hunar jaantaa huun — Kazim Rizvi
"dasht mein phuul ugaane kaa hunar jaantaa huun yaa'ni main she'r sunaane kaa hunar jaantaa huun ik tiri baat banaae nahin banti mujh se varna har baat banaane kaa hunar jaantaa huun tere kuche mein jo aaungaa Thahar jaaungaa kab yahaan aan ke jaane kaa hunar jaantaa huun haan khabar-daar ki ai naazish-e-khubaan-e-chaman main hasinon ko lubhaane kaa hunar jaantaa huun aankh se aankh laDaa dene kaa Dhab aataa hai honT se honT milaane kaa hunar jaantaa huun mere lafzon mein vo garmi hai ki jis se 'kaazim' aag paani mein lagaane kaa hunar jaantaa huun"
دشت میں پھول اگانے کا ہنر جانتا ہوں یعنی میں شعر سنانے کا ہنر جانتا ہوں اک تری بات بنائے نہیں بنتی مجھ سے ورنہ ہر بات بنانے کا ہنر جانتا ہوں تیرے کوچے میں جو آؤں گا ٹھہر جاؤں گا کب یہاں آن کے جانے کا ہنر جانتا ہوں ہاں خبردار کہ اے نازش خوبان چمن میں حسینوں کو لبھانے کا ہنر جانتا ہوں آنکھ سے آنکھ لڑا دینے کا ڈھب آتا ہے ہونٹ سے ہونٹ ملانے کا ہنر جانتا ہوں میرے لفظوں میں وہ گرمی ہے کہ جس سے کاظمؔ آگ پانی میں لگانے کا ہنر جانتا ہوں
दश्त में फूल उगाने का हुनर जानता हूँ या'नी मैं शे'र सुनाने का हुनर जानता हूँ इक तिरी बात बनाए नहीं बनती मुझ से वर्ना हर बात बनाने का हुनर जानता हूँ तेरे कूचे में जो आऊँगा ठहर जाऊँगा कब यहाँ आन के जाने का हुनर जानता हूँ हाँ ख़बर-दार कि ऐ नाज़िश-ए-ख़ूबान-ए-चमन मैं हसीनों को लुभाने का हुनर जानता हूँ आँख से आँख लड़ा देने का ढब आता है होंट से होंट मिलाने का हुनर जानता हूँ मेरे लफ़्ज़ों में वो गर्मी है कि जिस से 'काज़िम' आग पानी में लगाने का हुनर जानता हूँ

More by Kazim Rizvi
View all →"ek dariyaa-e-tilismaat ravaan kar Daalaa aap ke husn ne buDhon ko javaan kar Daalaa main ne izhaar kiyaa us ne jhukaa diin nazrein bin kahe kuchh mire mahbub ne haan kar Daalaa shauq-e-nazzaara ne imaan ki duniyaa luuTi dil-e-momin hadaf-e-chashm-e-butaan kar Daalaa kam na thi gardish-e-dauraan ki giraani mujh par teri yaadon ne use aur giraan kar Daalaa kaisaa naadaan huun ki ghazlon ke bahaane 'kaazim' main ne har raaz mohabbat kaa bayaan kar Daalaa"
"manzil-e-shauq ki raahon ne hamein maar liyaa yaa'ni rangin gunaahon ne hamein maar liyaa bach ke aae the abhi khanjar-e-qaatil se ki dost aap ki shokh nigaahon ne hamein maar liyaa yaar dekho to sahi manzar-e-e’jaaz-e-visaal un ke baazu ki panaahon ne hamein maar liyaa ye tire 'aib to kyaa ham ko hiraasaan karte aap apne hi gunaahon ne hamein maar liyaa bhari mahfil mein jo us shokh ko dekhaa 'kaazim' sab ki mashkuk nigaahon ne hamein maar liyaa"
"chaand hai aur ek taara hai teraa aur meraa isti'aara hai kyaa kahun us ke rukh ki taabaani ek bahkaa huaa sharaara hai naubat-e-rah-guzar nahin ki abhi teri dahliz kaa sahaaraa hai kah rahaa hai hadis-e-naaz hanuz ek shisha ki paara-paara hai aansuon ki qataar aur tavil daagh-e-dil aur aashkaaraa hai qatra-e-surkh barsar-e-mizhgaan dil risaale kaa ik shumaara hai"
"yuun nahin hai ki tiri baat pe bigDe hue hain ham to majburi-e-haalaat pe bigDe hue hain kuchh mire pyaar na karne pe bhi naaraaz hain vo kuchh zamaane ki khuraafaat pe bigDe hue hain dil kaa pakkaa huun magar mujh se mohabbat na karo naqsh jitne hain mire haat pe bigDe hue hain naam tak bhi miraa maa'lum nahin hai jin ko kyaa huaa hai ki miri zaat pe bigDe hue hain un se puchhe koi har shai pe bigaDne kaa maza din pe ghussa hain kabhi raat pe bigDe hue hain chand afraad ke be-rang nazariye 'kaazim' mere rangin khayaalaat pe bigDe hue hain"
"kuchh zabaan nahin khulti kaifiyat vo taari hai khaamushi ke lahje mein baat-chit jaari hai tum ko kyaa khabar kyaa hai 'aalam-e-shab-e-furqat jaan ko vahshatein laahaq dil ko be-qaraari hai bad-havaas aankhon se raaste ko taktaa huun kuchh samajh nahin aataa kis ki intizaari hai ghumti hai aankhon mein ek saanvli surat dil pe yaad kaa ghalba lab pe aah-o-zaari hai log meri ghazlon mein tum ko DhunD lete hain she’r-o-shaa’eri kab hai daastaan tumhaari hai jo the dil ki dil-jui duur ho chale 'kaazim' ab to mashghala apnaa sirf dil-figaari hai"