"muqaabil der tak raushan sitaara chaahiye kuchh aur andhere kaa ahaata paara-paara chaahiye kuchh aur kahin bhi der tak Tiknaa gavaara hai nahin us ko nigaah-e-yaar ko har pal nazaara chaahiye kuchh aur safar mein jhiil ke jab naav apni naa-rasaa Thahri khulaa mujh par ki is baabat shikaaraa chaahiye kuchh aur ajab kyaa ki badan ki jal-bujhi si raakh ke andar sulag uThne pe aamaada sharaara chaahiye kuchh aur ubharti TuTti maujon se andaaza nahin hotaa samundar mein ravaani kaa ishaara chaahiye kuchh aur jaraaid aur bhi aage mire 'shahzaad' hain lekin maraatib ke havaale se shumaara chaahiye kuchh aur"
dhanak laala shafaq jugnu sitaara dekhtaa hai vo — Muslim Shahzad
"dhanak laala shafaq jugnu sitaara dekhtaa hai vo sadaa khush-rang raushan istiaara dekhtaa hai vo kabhi khud aap apnaa hausla paayaab hone kaa kabhi hasrat se dariyaa kaa kinaara dekhtaa hai vo ajab mutazaad-haasil kaarobaar-e-shauq hai us kaa ifaada sochtaa hai to khasaara dekhtaa hai vo zamaana mahv-e-hairat hai ki bujhti raakh ke andar havaa de de ke aakhir kyaa sharaara dekhtaa hai vo abhi to shaam ke saae bhi mahraae na aankhon mein abhi se aakhir-e-shab kaa sitaara dekhtaa hai vo shajar jis se koi ummid-e-barg-o-baar bar aati usi pe zard mausam kaa ijaara dekhtaa hai vo jahaan us ne banaa rakkhaa hai kaaghaz kaa makaan 'shahzaad' usi jaanib havaaon kaa ishaara dekhtaa hai vo"
دھنک لالہ شفق جگنو ستارہ دیکھتا ہے وہ سدا خوش رنگ روشن استعارہ دیکھتا ہے وہ کبھی خود آپ اپنا حوصلہ پایاب ہونے کا کبھی حسرت سے دریا کا کنارہ دیکھتا ہے وہ عجب متضاد حاصل کاروبار شوق ہے اس کا افادہ سوچتا ہے تو خسارہ دیکھتا ہے وہ زمانہ محو حیرت ہے کہ بجھتی راکھ کے اندر ہوا دے دے کے آخر کیا شرارہ دیکھتا ہے وہ ابھی تو شام کے سائے بھی مہرائے نہ آنکھوں میں ابھی سے آخر شب کا ستارہ دیکھتا ہے وہ شجر جس سے کوئی امید برگ و بار بر آتی اسی پہ زرد موسم کا اجارہ دیکھتا ہے وہ جہاں اس نے بنا رکھا ہے کاغذ کا مکاں شہزادؔ اسی جانب ہواؤں کا اشارہ دیکھتا ہے وہ
धनक लाला शफ़क़ जुगनू सितारा देखता है वो सदा ख़ुश-रंग रौशन इस्तिआ'रा देखता है वो कभी ख़ुद आप अपना हौसला पायाब होने का कभी हसरत से दरिया का किनारा देखता है वो अजब मुतज़ाद-हासिल कारोबार-ए-शौक़ है उस का इफ़ादा सोचता है तो ख़सारा देखता है वो ज़माना महव-ए-हैरत है कि बुझती राख के अंदर हवा दे दे के आख़िर क्या शरारा देखता है वो अभी तो शाम के साए भी महराए न आँखों में अभी से आख़िर-ए-शब का सितारा देखता है वो शजर जिस से कोई उम्मीद-ए-बर्ग-ओ-बार बर आती उसी पे ज़र्द मौसम का इजारा देखता है वो जहाँ उस ने बना रक्खा है काग़ज़ का मकाँ 'शहज़ाद' उसी जानिब हवाओं का इशारा देखता है वो

More by Muslim Shahzad
View all →"marg-aasaar 'anaasir dar-o-divaar mein hai laa-makaani kaa tasavvur dil-e-aazaar mein hai haan balaa se na kisi taaj na dastaar mein hai sar zamaane kaa magar nashsha-e-pindaar mein hai hai mire zehn mein tanqid kaa khanjar paivast varna takhliq to taaza mire afkaar mein hai jaag uThti hai sisakti hai bikhar jaati hai ek tahrik ki paazeb ki jhankaar mein hai is tag-o-dau mein kahin kho nahin jaae 'shahzaad' ek pahchaan ki raushan mire kirdaar mein hai"
"havaa kaa jaal bhalaa TuuT kar bikhartaa kyaa miri sadaa kaa parinda uDaan bhartaa kyaa na dast-o-paa hi salaamat rahe na sar baaqi ab is se baDh ke koi saaneha guzartaa kyaa ki us ne taar-e-takhaatub ko naa-gahaan chheDaa ulajh ke rah gai aavaaz sur ubhartaa kyaa bikharte TuTte rishton kaa sakht-jaan manzar bichhaDte vaqt main aankhon mein qaid kartaa kyaa laraz rahi thi andhere ki siDhiyaan saari dayaar-e-shab mein ujaalaa koi utartaa kyaa kanaar-e-aab khaDaa sochtaa rahaa 'shahzaad' jo naqsh Duub chukaa thaa vo phir ubhartaa kyaa"
"tabi'at mein kisi had tak mataanat chaahiye kuchh aur harifon se bhi na harf-o-hikaayat chaahiye kuchh aur ab aisi bhi kyaa majburi ki khud mein gum rahaa jaae badan mein apne hone ki 'alaamat chaahiye kuchh aur khizaan-dida shajar huun phulnaa phalnaa magar chaahun mire haq mein bahaaron ki himaayat chaahiye kuchh aur koi maktub-e-yaaraan ki koi tasvir-e-jaanaan ho sadaa mahfuz yaaron ki amaanat chaahiye kuchh aur iraada sarfaraazi kaa bahut achchhaa sahi lekin baraae sarfaraazi qadd-o-qaamat chaahiye kuchh aur sar-e-atraaf yakh-basta havaa hai is qadar 'shahzaad' ravaan apni rag-o-pai mein haraarat chaahiye kuchh aur"
"dhund si kahaani likh lafz lafz faani likh ret ret honTon par buund buund paani likh aag si ibaarat ke phuul se maaani likh khanjaron ki dhaaron par marg-e-naa-gahaani likh raat aur sitaare ko raah aur nishaani likh jism likh samundar ko mauj ko javaani likh aakhiri thakan ke naam pahli kaamraani likh"
"suraj ki tarah saaya-e-divaar mein aayaa vo shakhs mire halqa-e-meaar mein aayaa be-saakhta khulte gae palkon pe sitaare vo mausam-e-zarkhez shab-e-taar mein aayaa kal raat bhi gul-rang huaa thaa koi bistar ye zikr nai tarah se akhbaar mein aayaa ik yaad se Duubi hui har nabz phir ubhri Thahraav saa phir saans ki raftaar mein aayaa kuchh der jhuki palkon ke saae mein rahaa phir vo rang-e-hayaa aariz-o-rukhsaar mein aayaa jab shahr-e-tamannaa kaa sukun raas na aayaa ghar lauT ke main shiddat-e-afkaar mein aayaa 'shahzaad' main har maarka jab haar ke baiThaa tab josh balaa kaa dil-e-khuddaar mein aayaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"