"tu kabhi meraa taraf-daar nahin ho saktaa mar bhi jaaun to mujhe pyaar nahin ho saktaa vo tiraa kahnaa ki mujh se tujhe Dar lagtaa hai ab agar chaahe to us paar nahin ho saktaa ye tiri zarra-navaazi jo hai ghairon ke liye tu to ab meraa talab-gaar nahin ho saktaa"
dil-e-muztar ko rusvaa kyon karein ham — M Nadeem Qazi
"dil-e-muztar ko rusvaa kyon karein ham tumhaare saath jhagDaa kyon karein ham anaa ko tum bhi ab apni sanbhaalo ab is kaa bhi tamaasha kyon karein ham vo royaa thaa bahut ham se bichhaD kar subut ab us se maangaa kyon karein ham jo ham ko zakhm de kar ke gae hain bhalaa ab un kaa pichhaa kyon karein ham baghaavat khuun mein apne hai saaqi to phir sajde ko zaae' kyon karein ham gunah ab ham se jo bhi ho gayaa hai to naahaq us se pardaa kyon karein ham bahut uktaa gae in silsilon se mohabbat ab dubaara kyon karein ham"
دل مضطر کو رسوا کیوں کریں ہم تمہارے ساتھ جھگڑا کیوں کریں ہم انا کو تم بھی اب اپنی سنبھالو اب اس کا بھی تماشہ کیوں کریں ہم وہ رویا تھا بہت ہم سے بچھڑ کر ثبوت اب اس سے مانگا کیوں کریں ہم جو ہم کو زخم دے کر کے گئے ہیں بھلا اب ان کا پیچھا کیوں کریں ہم بغاوت خون میں اپنے ہے ساقی تو پھر سجدے کو ضائع کیوں کریں ہم گنہ اب ہم سے جو بھی ہو گیا ہے تو ناحق اس سے پردا کیوں کریں ہم بہت اکتا گئے ان سلسلوں سے محبت اب دوبارہ کیوں کریں ہم
दिल-ए-मुज़्तर को रुस्वा क्यों करें हम तुम्हारे साथ झगड़ा क्यों करें हम अना को तुम भी अब अपनी सँभालो अब इस का भी तमाशा क्यों करें हम वो रोया था बहुत हम से बिछड़ कर सुबूत अब उस से माँगा क्यों करें हम जो हम को ज़ख़्म दे कर के गए हैं भला अब उन का पीछा क्यों करें हम बग़ावत ख़ून में अपने है साक़ी तो फिर सज्दे को ज़ाए' क्यों करें हम गुनह अब हम से जो भी हो गया है तो नाहक़ उस से पर्दा क्यों करें हम बहुत उक्ता गए इन सिलसिलों से मोहब्बत अब दुबारा क्यों करें हम

More by M Nadeem Qazi
View all →More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"