SHAWORDS

dil ki dahliz pe dilbar aayaa — Atyab Ejaz

HomeAtyab EjazGhazal
"dil ki dahliz pe dilbar aayaa pyaas ke dar pe samundar aayaa chalte chalte tiri khushbu aai main ye samjhaa ki tiraa ghar aayaa dhuup mein chhaanv numudaar hui kaun aakhir sar-e-mahshar aayaa asl mein thi vo havaai aahaT main baDi tezi se baahar aayaa thiin khataaein to saraasar dil ki zad mein aayaa to miraa sar aayaa chhuT kar tujh se kahin jaa na mili lauT kar phir tire dar par aayaa us ko lauTaa diye sab us ke khutut haae naadaan ye kyaa kar aayaa yaar aayaa ki na aayaa 'atib' naama-e-yaar baraabar aayaa"
Urdu

دل کی دہلیز پہ دلبر آیا پیاس کے در پہ سمندر آیا چلتے چلتے تری خوشبو آئی میں یہ سمجھا کہ ترا گھر آیا دھوپ میں چھاؤں نمودار ہوئی کون آخر سر محشر آیا اصل میں تھی وہ ہوائی آہٹ میں بڑی تیزی سے باہر آیا تھیں خطائیں تو سراسر دل کی زد میں آیا تو مرا سر آیا چھوٹ کر تجھ سے کہیں جا نہ ملی لوٹ کر پھر ترے در پر آیا اس کو لوٹا دئیے سب اس کے خطوط ہائے نادان یہ کیا کر آیا یار آیا کہ نہ آیا اطیبؔ نامۂ یار برابر آیا

Hindi

दिल की दहलीज़ पे दिलबर आया प्यास के दर पे समुंदर आया चलते चलते तिरी ख़ुशबू आई मैं ये समझा कि तिरा घर आया धूप में छाँव नुमूदार हुई कौन आख़िर सर-ए-महशर आया अस्ल में थी वो हवाई आहट मैं बड़ी तेज़ी से बाहर आया थीं ख़ताएँ तो सरासर दिल की ज़द में आया तो मिरा सर आया छूट कर तुझ से कहीं जा न मिली लौट कर फिर तिरे दर पर आया उस को लौटा दिए सब उस के ख़ुतूत हाए नादान ये क्या कर आया यार आया कि न आया 'अतीब' नामा-ए-यार बराबर आया

dil kī dahlīz pe dilbar aayā
Atyab Ejaz
Atyab Ejaz
Atyab Ejaz
poet4 quotes

More by Atyab Ejaz

View all →
Quote
"vaqt ne luuTe hain hasti ke khazaane kitne khaak kaa Dher hue qasr na-jaane kitne khvaab ehsaas nazar yaad tasavvur dhaDkan main ne tere liye rakkhe hain Thikaane kitne aaj manzil pe pahunch kar mujhe ehsaas huaa raah mein chhuT gae dost puraane kitne dil vo panchhi hai kabhi daam mein aataa hi nahin chuuk jaate hain nigaahon ke nishaane kitne jab bhi taabir ki aankhon se milaain aankhein ruuh ko chhed gae khvaab suhaane kitne daaman-e-sabr na chhoDeinge kabhi ahl-e-vafaa tum banaaoge miri jaan bahaane kitne kyaa bataaun main rah-e-sher-o-sukhan mein ai 'atib' naqsh chhoDe hain miri fikr-e-rasaa ne kitne"
Atyab EjazAtyab Ejaz
Quote
"gumaan ke tan pe yaqin kaa libaas rahne do ki mere haath mein khaali gilaas rahne do zamaana guzraa hai khushiyon kaa saath chhoDe hue mire mizaaj ko ab gham-shanaas rahne do amal ki rut mein panapti hain Tahniyaan haq ki milaao sach se nigaahein qayaas rahne do vo khvaab ko bhi haqiqat samajh ke jiite hain isi mein khush hain to ye iltibaas rahne do milaa ke haath shayaatin se dekhte ho mujhe anaaniyat ko tum apne hi paas rahne do mujhe na khincho khushi ke hisaar mein ai 'atib' udaas rahnaa hai mujh ko udaas rahne do"
Atyab EjazAtyab Ejaz

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil